na tujh par garz hain na teri wafaon par | न तुझ पर गरज़ हैं न तेरी वफ़ाओं पर - Kashyap Jani

na tujh par garz hain na teri wafaon par
hum to mar jaate hain bas teri adaaon par

tu hi bata yaar ki chahein tujhe kitna chahein
ab to hum zinda hai bas teri duaon par

lamhon mein kat jaayegi sadiyaan shabaab ki
phir majboor hi hain khud ki sadaaon par

ab is qadar tujhe tavajjoh di hain hamne
ki tera deedaar bhari hain in fizaon par

tujhe chhukey guzrati hain ye achha nahin lagta
koi fatwa jaari kiya jaaye hawaon par

न तुझ पर गरज़ हैं न तेरी वफ़ाओं पर
हम तो मर जाते हैं बस तेरी अदाओं पर

तू ही बता यार की चाहें तुझे कितना चाहें
अब तो हम ज़िंदा है बस तेरी दुआओं पर

लम्हों में कट जाएगी सदियाँ शबाब की
फिर मजबूर ही हैं खुद की सदाओं पर

अब इस क़दर तुझे तवज्जो दी हैं हमनें
की तेरा दीदार भारी हैं इन फ़िज़ाओं पर

तुझे छुके गुज़रती हैं ये अच्छा नहीं लगता
कोई फतवा जारी किया जाए हवाओं पर

- Kashyap Jani
0 Likes

Bhai Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Kashyap Jani

As you were reading Shayari by Kashyap Jani

Similar Writers

our suggestion based on Kashyap Jani

Similar Moods

As you were reading Bhai Shayari Shayari