junoon-e-ishq ye kya rang-e-mahfil hai jahaan main hoon | जुनून-ए-इश्क़ ये क्या रंग-ए-महफ़िल है जहाँ मैं हूँ

  - Kaif Moradaabadi

junoon-e-ishq ye kya rang-e-mahfil hai jahaan main hoon
jo aalam hai mera hi aalam-e-dil hai jahaan main hoon

yahan tak kaar-farma jazb-e-kaamil hai jahaan main hoon
ki farq-e-zaahir-o-baatin bhi mushkil hai jahaan main hoon

sivaa-e-husn koi bhi nahin hai maqsad-e-hasti
sivaa-e-ishq har ehsaas-e-baatil hai jahaan main hoon

junoon-e-gham ka shikwa kis se kijeye kis tarah kijeye
tajalli khud shareek-e-aalam-e-dil hai jahaan main hoon

kuchh aisi be-niyaazi si talaash-e-chaaragar se hai
yahan har ranj goya raahat-e-dil hai jahaan main hoon

mujhe toofaan to uthte hue mehsoos hote hain
b-zaahir koi dariya hai na saahil hai jahaan main hoon

shu'ur-e-har-haqeeqat munhasir deewaangi par hai
magar deewaangi ek kaar-e-mushkil hai jahaan main hoon

baqa targheeb deti hai mujhe shauq-e-faraavan ki
fana minjumla-e-aasaar-e-manzil hai jahaan main hoon

liye jaata hai koi kaif warna ye haqeeqat hai
yahan to do qadam chalna bhi mushkil hai jahaan main hoon

जुनून-ए-इश्क़ ये क्या रंग-ए-महफ़िल है जहाँ मैं हूँ
जो आलम है मिरा ही आलम-ए-दिल है जहाँ मैं हूँ

यहाँ तक कार-फ़रमा जज़्ब-ए-कामिल है जहाँ मैं हूँ
कि फ़र्क़-ए-ज़ाहिर-ओ-बातिन भी मुश्किल है जहाँ मैं हूँ

सिवा-ए-हुस्न कोई भी नहीं है मक़्सद-ए-हस्ती
सिवा-ए-इश्क़ हर एहसास-ए-बातिल है जहाँ मैं हूँ

जुनून-ए-ग़म का शिकवा किस से कीजे किस तरह कीजे
तजल्ली ख़ुद शरीक-ए-आलम-ए-दिल है जहाँ मैं हूँ

कुछ ऐसी बे-नियाज़ी सी तलाश-ए-चारागर से है
यहाँ हर रंज गोया राहत-ए-दिल है जहाँ मैं हूँ

मुझे तूफ़ान तो उठते हुए महसूस होते हैं
ब-ज़ाहिर कोई दरिया है न साहिल है जहाँ मैं हूँ

शुऊ'र-ए-हर-हक़ीक़त मुनहसिर दीवानगी पर है
मगर दीवानगी एक कार-ए-मुश्किल है जहाँ मैं हूँ

बक़ा तर्ग़ीब देती है मुझे शौक़-ए-फ़रावाँ की
फ़ना मिनजुमला-ए-आसार-ए-मंज़िल है जहाँ मैं हूँ

लिए जाता है कोई 'कैफ़' वर्ना ये हक़ीक़त है
यहाँ तो दो क़दम चलना भी मुश्किल है जहाँ मैं हूँ

  - Kaif Moradaabadi

Sach Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Kaif Moradaabadi

As you were reading Shayari by Kaif Moradaabadi

Similar Writers

our suggestion based on Kaif Moradaabadi

Similar Moods

As you were reading Sach Shayari Shayari