nazar nazar se milaai kyun thi nafs nafs mein samaaye kyun the
unhen tha manzoor mujh se parda to saamne mere aaye kyun the
dayaar-e-husn-e-wafa-talab ki taraf qadam hi uthaaye kyun the
junoon ko ilzaam dene waale junoon ki baaton mein aaye kyun the
isee khata ki saza mein ab tak nishaan-e-manzil nahin mila hai
rah-e-mohabbat mein awwal awwal mere qadam dagmagaaye kyun the
vo aaftaab-e-jamaal shaayad yahin kahi se guzar raha hai
jahaan-e-dil ke tamaam zarre abhi abhi jagmagaae kyun the
nafs nafs sad-khalish bad-amaal qadam qadam par hazaar toofaan
main ab ye samjha ki roz-e-awwal vo dekh kar muskuraaye kyun the
unhen jo ab kaif se hai shikwa ki nazm-e-aalam bigaad daala
vo aise deewane ko bhala is khird ki duniya mein laaye kyun the
नज़र नज़र से मिलाई क्यों थी नफ़स नफ़स में समाए क्यों थे
उन्हें था मंज़ूर मुझ से पर्दा तो सामने मेरे आए क्यों थे
दयार-ए-हुस्न-ए-वफ़ा-तलब की तरफ़ क़दम ही उठाए क्यों थे
जुनूँ को इल्ज़ाम देने वाले जुनूँ की बातों में आए क्यों थे
इसी ख़ता की सज़ा में अब तक निशान-ए-मंज़िल नहीं मिला है
रह-ए-मोहब्बत में अव्वल अव्वल मिरे क़दम डगमगाए क्यों थे
वो आफ़्ताब-ए-जमाल शायद यहीं कहीं से गुज़र रहा है
जहान-ए-दिल के तमाम ज़र्रे अभी अभी जगमगाए क्यों थे
नफ़स नफ़स सद-ख़लिश बद-आमाल क़दम क़दम पर हज़ार तूफ़ाँ
मैं अब ये समझा कि रोज़-ए-अव्वल वो देख कर मुस्कुराए क्यों थे
उन्हें जो अब 'कैफ़' से है शिकवा कि नज़्म-ए-आलम बिगाड़ डाला
वो ऐसे दीवाने को भला इस ख़िरद की दुनिया में लाए क्यों थे
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Kaif Moradaabadi
our suggestion based on Kaif Moradaabadi
As you were reading Chehra Shayari Shayari