tujhsa nahin shabaab hai meri nigaah mein
ye husn laajwaab hai meri nigaah mein
bas pyaar behisaab hai meri nigaah mein
tujhsa na mahtaab hai meri nigaah mein
roti ke intezar mein bhookha rahe koi
sabse bada azaab hai meri nigaah mein
muddat ke baad gul mila sookha kitaab se
jaise koi khitaab hai meri nigaah mein
mukhde pe laaj sharm hai tahreeren pyaar ki
khat ka yahi jawaab hai meri nigaah mein
seerat kharaab hai ajee niyat kharaab bhi
ye zahr bhi sharaab hai meri nigaah mein
hote suraakh ab dilon mein roz hi yahan
qudrat kare hisaab hai meri nigaah mein
apne watan ke vaaste ho jaata jo shaheed
meena vo laajwaab hai meri nigaah mein
तुझसा नहीं शबाब है मेरी निगाह में
ये हुस्न लाजवाब है मेरी निगाह में
बस प्यार बेहिसाब है मेरी निगाह में
तुझसा न माहताब है मेरी निगाह में
रोटी के इंतज़ार में भूखा रहे कोई
सबसे बड़ा अज़ाब है मेरी निगाह में
मुद्दत के बाद गुल मिला सूखा किताब से
जैसे कोई ख़िताब है मेरी निगाह में
मुखड़े पे लाज शर्म है तहरीरें प्यार की
ख़त का यही जवाब है मेरी निगाह में
सीरत ख़राब है अजी नीयत ख़राब भी
ये ज़ह्र भी शराब है मेरी निगाह में
होते सुराख़ अब दिलों में रोज़ ही यहाँ
क़ुदरत करे हिसाब है मेरी निगाह में
अपने वतन के वास्ते हो जाता जो शहीद
मीना वो लाजवाब है मेरी निगाह में
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Meena Bhatt
our suggestion based on Meena Bhatt
As you were reading Nature Shayari Shayari