thak thak gaye hain aashiq darmaanda-e-fughaan ho | थक थक गए हैं आशिक़ दरमांदा-ए-फ़ुग़ाँ हो

  - Qalaq Merathi

thak thak gaye hain aashiq darmaanda-e-fughaan ho
yaarab kahi vo ghaflat fariyaad-e-be-kasaan ho

ya qahar hai vo shokhi ya parda hai nazar ka
dil mein to us ka ghar ho aur aankh se nihaan ho

ye shor bhar raha hai fariyaad ka jahaan mein
jo baat lab pe aayi ulti firee fugaan ho

kis kis dua ko maange kya kya havas nikaalen
ik jaan kidhar kidhar ho ik dil kahaan kahaan ho

bargashtagi-e-qismat ye chhed kya nikaali
jo mudda-e-dil ho vo mudd'ai-e-jaan ho

maqdoor tak to apne tujh se nibhaayenge ham
be-jaan-o-dil hain haazir gar qasd-e-imtihaan ho

sayyaad main nahin hoon gum-karda aashiyaan hoon
ai ham-safeero bolo kis ja ho aur kahaan ho

ai aah dil se uth kar lab par hai kya taammul
ja shorish-e-zameen ho aashob-e-aasmaan ho

mit mit ke bhi hamaara ik ban rahega saamaan
ujde agar bahaaraan aabaadi-e-khizaan ho

jab baithne pe aaye ai zof baith rahiye
phir kya hai ye takalluf us ka hi aastaan ho

tu hi rahegi bulbul ya main hi is chaman mein
ya tera hi ho qissa ya meri dastaan ho

mere sukhun mein kya hai kuchh khaal-o-khat bayaan hai
par dil se us ke pooche jo koi nukta-daan ho

mera salaam kehna jhuk kar qalq wahi hai
us ki gali mein baitha mauzoon sa jo jawaan ho

थक थक गए हैं आशिक़ दरमांदा-ए-फ़ुग़ाँ हो
यारब कहीं वो ग़फ़लत फ़रियाद-ए-बे-कसाँ हो

या क़हर है वो शोख़ी या पर्दा है नज़र का
दिल में तो उस का घर हो और आँख से निहाँ हो

ये शोर भर रहा है फ़रियाद का जहाँ में
जो बात लब पे आई उल्टी फिरी फ़ुग़ाँ हो

किस किस दुआ को माँगें क्या क्या हवस निकालें
इक जाँ किधर किधर हो इक दिल कहाँ कहाँ हो

बरगश्तगी-ए-क़िस्मत ये छेड़ क्या निकाली
जो मुद्दआ-ए-दिल हो वो मुद्द'ई-ए-जाँ हो

मक़्दूर तक तो अपने तुझ से निभाएँगे हम
बे-जान-ओ-दिल हैं हाज़िर गर क़स्द-ए-इम्तिहाँ हो

सय्याद मैं नहीं हूँ गुम-कर्दा आशियाँ हूँ
ऐ हम-सफ़ीरो बोलो किस जा हो और कहाँ हो

ऐ आह दिल से उठ कर लब पर है क्या तअम्मुल
जा शोरिश-ए-ज़मीं हो आशोब-ए-आसमाँ हो

मिट मिट के भी हमारा इक बन रहेगा सामाँ
उजड़े अगर बहाराँ आबादी-ए-ख़िज़ाँ हो

जब बैठने पे आए ऐ ज़ोफ़ बैठ रहिए
फिर क्या है ये तकल्लुफ़ उस का ही आस्ताँ हो

तू ही रहेगी बुलबुल या मैं ही इस चमन में
या तेरा ही हो क़िस्सा या मेरी दास्ताँ हो

मेरे सुख़न में क्या है कुछ ख़ाल-ओ-ख़त बयाँ है
पर दिल से उस के पूछे जो कोई नुक्ता-दाँ हो

मेरा सलाम कहना झुक कर 'क़लक़' वही है
उस की गली में बैठा मौज़ूँ सा जो जवाँ हो

  - Qalaq Merathi

Nigaah Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Qalaq Merathi

As you were reading Shayari by Qalaq Merathi

Similar Writers

our suggestion based on Qalaq Merathi

Similar Moods

As you were reading Nigaah Shayari Shayari