kitna roka magar ruka hi nahin
aur mud kar to dekhta hi nahin
teri chaukhat ka bhari darwaaza
dastaken de ke bhi khula hi nahin
mujh mein itna bikhar gaya hai vo
laakh chaahoon simat raha hi nahin
sahiba dost maan rakha tha
aur tu dukh mein bolta hi nahin
hijr ne khud bhi ye gawaahi di
waapsi ka to raasta hi nahin
kunj-e-tanhaai mein aseer-e-ishq
khud se baahar kabhi gaya hi nahin
ek muddat se aashna hain magar
aaine se mukaalima hi nahin
kis mohabbat ki baat karte ho
jis mohabbat mein dil jala hi nahin
kis ko itna maqaam dete ham
itna achha koi laga hi nahin
kuchh to hota ki zindagi karte
is taalluq ka kuchh sila hi nahin
saari duniya shumaar baithi hoon
ya'ni ginti mein raabiya hi nahin
कितना रोका मगर रुका ही नहीं
और मुड़ कर तो देखता ही नहीं
तेरी चौखट का भारी दरवाज़ा
दस्तकें दे के भी खुला ही नहीं
मुझ में इतना बिखर गया है वो
लाख चाहूँ सिमट रहा ही नहीं
साहिबा दोस्त मान रक्खा था
और तू दुख में बोलता ही नहीं
हिज्र ने ख़ुद भी ये गवाही दी
वापसी का तो रास्ता ही नहीं
कुंज-ए-तन्हाई में असीर-ए-इश्क़
ख़ुद से बाहर कभी गया ही नहीं
एक मुद्दत से आश्ना हैं मगर
आइने से मुकालिमा ही नहीं
किस मोहब्बत की बात करते हो
जिस मोहब्बत में दिल जला ही नहीं
किस को इतना मक़ाम देते हम
इतना अच्छा कोई लगा ही नहीं
कुछ तो होता कि ज़िंदगी करते
इस तअल्लुक़ का कुछ सिला ही नहीं
सारी दुनिया शुमार बैठी हूँ
या'नी गिनती में 'राबिया' ही नहीं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Rabia Basri
our suggestion based on Rabia Basri
As you were reading Love Shayari Shayari