siyaah shaal pe jo ashk kaadhta hoga | सियाह शाल पे जो अश्क काढ़ता होगा

  - Rabia Basri

siyaah shaal pe jo ashk kaadhta hoga
kise khabar thi use mujh se mas'ala hoga

jo mere hote bichhadne ki baat karta tha
meri judaai mein ik baar ro diya hoga

zameen pe phaile ye kaaghaz gawaahi dete hain
vo kuchh na kuchh to mere naam likh raha hoga

fazaa udaas hai mahtaab hai malool ki ab
vo zard chehre ko haathon mein bhar raha hoga

main is liye bhi bahut mutmain thi doori se
vo door hoga magar mujh ko dekhta hoga

mujhe bhi doosre kaandhe ne kuchh sahaara diya
kahi se mauqa use bhi to mil gaya hoga

सियाह शाल पे जो अश्क काढ़ता होगा
किसे ख़बर थी उसे मुझ से मसअला होगा

जो मेरे होते बिछड़ने की बात करता था
मिरी जुदाई में इक बार रो दिया होगा

ज़मीं पे फैले ये काग़ज़ गवाही देते हैं
वो कुछ न कुछ तो मिरे नाम लिख रहा होगा

फ़ज़ा उदास है महताब है मलूल कि अब
वो ज़र्द चेहरे को हाथों में भर रहा होगा

मैं इस लिए भी बहुत मुतमइन थी दूरी से
वो दूर होगा मगर मुझ को देखता होगा

मुझे भी दूसरे काँधे ने कुछ सहारा दिया
कहीं से मौक़ा उसे भी तो मिल गया होगा

  - Rabia Basri

Mood off Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Rabia Basri

As you were reading Shayari by Rabia Basri

Similar Writers

our suggestion based on Rabia Basri

Similar Moods

As you were reading Mood off Shayari Shayari