main kalam se kaaghaz par apna dil banaoonga
aur phir tera dil bhi muttasil banaoonga
baith kar ke saahil ki taptee ret par yaaron
ungliyon se ik dariya mushtail banaoonga
ishq apne hisse ka baant kar kisi aur ko
main teri mohabbat ko muntaqil banaoonga
raat din teri zulfen jo hawa mein udti hain
inko apne haathon se mustaqil banaoonga
hanste hanste logon ko main puraani ghazalon se
har kisi ko abki main muzmahil banaoonga
मैं कलम से काग़ज़ पर अपना दिल बनाऊँगा
और फिर तेरा दिल भी मुत्तसिल बनाऊँगा
बैठ कर के साहिल की तपती रेत पर यारों
उँगलियों से इक दरिया मुश्तइल बनाऊँगा
इश्क़ अपने हिस्से का बाँट कर किसी और को
मैं तेरी मोहब्बत को मुन्तक़िल बनाऊँगा
रात दिन तेरी ज़ुल्फ़ें जो हवा में उड़ती हैं
इनको अपने हाथों से मुस्तक़िल बनाऊँगा
हँसते हँसते लोगों को मैं पुरानी ग़ज़लों से
हर किसी को अबकी मैं मुज़्महिल बनाऊँगा
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Rachit Sonkar
our suggestion based on Rachit Sonkar
As you were reading Ulfat Shayari Shayari