meri yaadon ka ik kamra rakha hai
jahaan usne mujhe tanhaa rakha hai
mujhe kya dukh ki mujhko kya milega
mera to naam bhi achha rakha hai
kisi bacche ki khwaahish the sitaare
nahin to aasmaan mein kya rakha hai
isee dar ne jagah cheeni thi uski
ki ghar ki neev mein malba rakha hai
sitamgar aaj bhi sudhara nahin tu
mujhe shaadi mein bhi bhooka rakha hai
मेरी यादों का इक कमरा रखा है
जहाँ उसने मुझे तन्हा रखा है
मुझे क्या दुख कि मुझको क्या मिलेगा
मेरा तो नाम भी अच्छा रखा है
किसी बच्चे की ख़्वाहिश थे सितारे
नहीं तो आसमाँ में क्या रखा है
इसी डर ने जगह छीनी थी उसकी
कि घर की नींव में मलबा रखा है
सितमगर आज भी सुधरा नहीं तू
मुझे शादी में भी भूका रखा है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Rajnishwar Chauhan 'Rajnish'
our suggestion based on Rajnishwar Chauhan 'Rajnish'
As you were reading Aasman Shayari Shayari