gulshan ki faqat phoolon se nahin kaanton se bhi zeenat hoti hai | गुलशन की फ़क़त फूलों से नहीं काँटों से भी ज़ीनत होती है

  - Saba Afghani

gulshan ki faqat phoolon se nahin kaanton se bhi zeenat hoti hai
jeene ke liye is duniya mein gham ki bhi zaroorat hoti hai

har shaam-o-sehar qurbaan jis par duniya-e-masarrat hoti hai
vo paikar-e-raahat kya jaane kaisi shab-e-furqat hoti hai

ai waiz-e-naadaan karta hai tu ek qayamat ka charcha
yaa roz nigaahen milti hain yaa roz qayamat hoti hai

karna hi padega zabt-e-alam peene hi padenge ye aansu
fariyaad-o-fighaan se ai naadaan tauheen-e-mohabbat hoti hai

vo pursish-e-gham ko aaye hain kuchh kah na sakoon chup rah na sakoon
khaamosh rahoon to mushkil hai kah doon to shikaayat hoti hai

ai dost judaai mein teri kuchh aise bhi lamhe aate hain
sejon pe bhi tadpa karta hoon kaanton pe bhi raahat hoti hai

jo aa ke ruke daaman pe saba vo ashk nahin hai paani hai
jo ashk na chalke aankhon se us ashk ki qeemat hoti hai

गुलशन की फ़क़त फूलों से नहीं काँटों से भी ज़ीनत होती है
जीने के लिए इस दुनिया में ग़म की भी ज़रूरत होती है

हर शाम-ओ-सहर क़ुर्बां जिस पर दुनिया-ए-मसर्रत होती है
वो पैकर-ए-राहत क्या जाने कैसी शब-ए-फ़ुर्क़त होती है

ऐ वाइज़-ए-नादाँ करता है तू एक क़यामत का चर्चा
याँ रोज़ निगाहें मिलती हैं याँ रोज़ क़यामत होती है

करना ही पड़ेगा ज़ब्त-ए-अलम पीने ही पड़ेंगे ये आँसू
फ़रियाद-ओ-फ़ुग़ाँ से ऐ नादाँ तौहीन-ए-मोहब्बत होती है

वो पुर्सिश-ए-ग़म को आए हैं कुछ कह न सकूँ चुप रह न सकूँ
ख़ामोश रहूँ तो मुश्किल है कह दूँ तो शिकायत होती है

ऐ दोस्त जुदाई में तेरी कुछ ऐसे भी लम्हे आते हैं
सेजों पे भी तड़पा करता हूँ काँटों पे भी राहत होती है

जो आ के रुके दामन पे 'सबा' वो अश्क नहीं है पानी है
जो अश्क न छलके आँखों से उस अश्क की क़ीमत होती है

  - Saba Afghani

Sad Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Saba Afghani

As you were reading Shayari by Saba Afghani

Similar Writers

our suggestion based on Saba Afghani

Similar Moods

As you were reading Sad Shayari Shayari