aaghaaz-e-gul hai shauq magar tez abhi se hai | आग़ाज़-ए-गुल है शौक़ मगर तेज़ अभी से है

  - Tabish Dehlvi

aaghaaz-e-gul hai shauq magar tez abhi se hai
yaani hawa-e-baagh junoon-khez abhi se hai

josh-e-talab hi maujib-e-darmaandagi na ho
manzil hai door aur qadam tez abhi se hai

kya irtibaat-e-husn-o-mohabbat ki ho umeed
vo jaan-e-shauq ham se kam-aamez abhi se hai

tarteeb-e-kaarwaan mein bahut der hai magar
aawaza-e-jaras hai ki mahmej abhi se hai

pehli hi zarb-e-tesha se koh-e-giraan hai choor
hasrat-maal satwat-e-parwez abhi se hai

kya jaane may-kashon ka ho kya hashr subh tak
saaqi ki har nigaah dil-aawez abhi se hai

ye ibtida-e-shauq ye pur-shauq dil mera
ik jaam-e-aatishi hai ki labreiz abhi se hai

taabish bhari bahaar mein koi bichhad gaya
ab ke chaman mein bu-e-khizaan tez abhi se hai

आग़ाज़-ए-गुल है शौक़ मगर तेज़ अभी से है
यानी हवा-ए-बाग़ जुनूँ-ख़ेज़ अभी से है

जोश-ए-तलब ही मौजिब-ए-दरमाँदगी न हो
मंज़िल है दूर और क़दम तेज़ अभी से है

क्या इर्तिबात-ए-हुस्न-ओ-मोहब्बत की हो उमीद
वो जान-ए-शौक़ हम से कम-आमेज़ अभी से है

तरतीब-ए-कारवाँ में बहुत देर है मगर
आवाज़ा-ए-जरस है कि महमेज़ अभी से है

पहली ही ज़र्ब-ए-तेशा से कोह-ए-गिराँ है चूर
हसरत-मआल सतवत-ए-परवेज़ अभी से है

क्या जाने मय-कशों का हो क्या हश्र सुब्ह तक
साक़ी की हर निगाह दिल-आवेज़ अभी से है

ये इब्तिदा-ए-शौक़ ये पुर-शौक़ दिल मिरा!
इक जाम-ए-आतिशीं है कि लबरेज़ अभी से है

'ताबिश' भरी बहार में कोई बिछड़ गया
अब के चमन में बू-ए-ख़िज़ाँ तेज़ अभी से है

  - Tabish Dehlvi

Good morning Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Tabish Dehlvi

As you were reading Shayari by Tabish Dehlvi

Similar Writers

our suggestion based on Tabish Dehlvi

Similar Moods

As you were reading Good morning Shayari Shayari