lugat mein dekh pehle pyaar aata hai
phir uske baad hi sansaar aata hai
sunoon main jab kabhi duniya kahin par bhi
tasavvur mein mere bazaar aata hai
taras kya hai tumhein kaise pata hoga
tumhein to t se bas talwaar aata hai
gharo mein bachchon ke haathon mein pehli baar
khilauna banke hi hathiyaar aata hai
suna hai shor khaalipan ka maine bhi
mere bhi ghar mein roz akhbaar aata hai
nisaab uska ziyaada sahal hai shaayad
vo har paper mein hi taiyaar aata hai
kahoge kya kabhi kuchh aur bhi faani
ya tumko sirf jee sarkaar aata hai
लुग़त में देख पहले प्यार आता है
फिर उसके बाद ही संसार आता है
सुनूँ मैं जब कभी दुनिया कहीं पर भी
तसव्वुर में मेरे बाज़ार आता है
तरस क्या है तुम्हें कैसे पता होगा
तुम्हें तो त से बस तलवार आता है
घरों में बच्चों के हाथों में पहली बार
खिलौना बनके ही हथियार आता है
सुना है शोर ख़ालीपन का मैंने भी
मेरे भी घर में रोज़ अख़बार आता है
निसाब उसका ज़ियादा सहल है शायद
वो हर पेपर में ही तैयार आता है
कहोगे क्या कभी कुछ और भी फ़ानी
या तुमको सिर्फ़ जी सरकार आता है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ananth Faani
our suggestion based on Ananth Faani
As you were reading Bachpan Shayari Shayari