nifaq se khuda bachaaye rog ye shadeed hai
balaa-e-jaan aadmi nishaan-e-buz-dili hai ye
zwaal-e-aadmi hai ye wabaal-e-aadmi hai ye
agar kahoon durust hai ki marg-e-aadmi hai ye
ye gandagi ka dher hai ghilaaf mein dhaka chhupa
ye khaufnaak zahar hai mithaas mein mila-jula
waba-e-haul-naak hai balaa-e-haul-naak hai
ye chalti phirti aag hai dayaar o mulk o shehar mein
nifaq se khuda bachaaye rog ye khabeesh hai
libaas-e-jism-e-aadmi mein kodh hai chhupa hua
munaafiqon ki khaslaten ajeeb hain gareeb hain
zabaan pe kuchh hai dil mein kuchh kaheinge kuchh karenge kuchh
zabaan pe dosti ka raag aasteen mein chhuri
dilon mein bugz hai bhara magar labon pe hai hasi
zabaan par khuda ki rat dilon mein fikr-e-shaitanat
ye apne aap hain khuda garz ko poojte hain ye
ye nafs ke ghulaam hain mafaad ke ghulaam hain
ye apne aap muqtedi ye apne khud imaam hain
निफ़ाक़ से ख़ुदा बचाए रोग ये शदीद है
बला-ए-जान आदमी निशान-ए-बुज़-दिली है ये
ज़वाल-ए-आदमी है ये वबाल-ए-आदमी है ये
अगर कहूँ दुरुस्त है कि मर्ग-ए-आदमी है ये
ये गंदगी का ढेर है ग़िलाफ़ में ढका छुपा
ये ख़ौफ़नाक ज़हर है मिठास में मिला-जुला
वबा-ए-हौल-नाक है बला-ए-हौल-नाक है
ये चलती फिरती आग है दयार ओ मुल्क ओ शहर में
निफ़ाक़ से ख़ुदा बचाए रोग ये ख़बीस है
लिबास-ए-जिस्म-ए-आदमी में कोढ़ है छुपा हुआ
मुनाफ़िक़ों की ख़स्लतें अजीब हैं ग़रीब हैं
ज़बाँ पे कुछ है दिल में कुछ कहेंगे कुछ करेंगे कुछ
ज़बाँ पे दोस्ती का राग आस्तीन में छुरी
दिलों में बुग़्ज़ है भरा मगर लबों पे है हँसी
ज़बान पर ख़ुदा की रट दिलों में फ़िक्र-ए-शैतनत
ये अपने आप हैं ख़ुदा ग़रज़ को पूजते हैं ये
ये नफ़्स के ग़ुलाम हैं मफ़ाद के ग़ुलाम हैं
ये अपने आप मुक़तदी ये अपने ख़ुद इमाम हैं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Urooj Qadri
our suggestion based on Urooj Qadri
As you were reading Deshbhakti Shayari Shayari