ab mera koii nain zamaane mein
sochta hoon ye sab bataane mein
is dikhaave pe mere mat jaao
hai chhupa dard muskuraane mein
kyun main peeta nahin wahan cigarette
yaad aayi to kaarkhaane mein
umr guzri to yaad aaya sab
mera tha koii is zamaane mein
yaar kaise use bhula den ab
umr ik lag gai thi paane mein
ik haqeeqat tumhein bataaun kya
kho diya mujhko aazmaane mein
bhoolna hoga ab use yaksar
kya mila ashkon ko bahaane mein
yaad aata hai uska vo lahja
haath uska hi tha rulaane mein
muntazir hoon main barson se yaaro
der usne bahut kii aane mein
अब मिरा कोई नइँ ज़माने में
सोचता हूँ ये सब बताने में
इस दिखावे पे मेरे मत जाओ
है छुपा दर्द मुस्कुराने में
क्यूँ मैं पीता नहीं वहाँ सिग्रेट
याद आई तो कारख़ाने में
उम्र गुज़री तो याद आया सब
मेरा था कोई इस ज़माने में
यार कैसे उसे भुला दें अब
उम्र इक लग गई थी पाने में
इक हक़ीक़त तुम्हें बताऊँ क्या
खो दिया मुझको आज़माने में
भूलना होगा अब उसे यकसर
क्या मिला अश्कों को बहाने में
याद आता है उसका वो लहजा
हाथ उसका ही था रुलाने में
मुंतज़िर हूँ मैं बरसों से यारो
देर उसने बहुत की आने में
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Vaseem 'Haidar'
our suggestion based on Vaseem 'Haidar'
As you were reading Charagh Shayari Shayari