jaane kahaan ho tum shikaayat tum se hai
meri mohabbat ki qayaadat tum se hai
ik iltijaa hai meri tum aa jaao ab
meri ye saari ab to himmat tum se hai
tum chahe kuchh bhi socho mere haq mein yaa
sabse ziyaada ab-aqeedat tum se hai
kyun fikr ham karte zamaane ki yahan
is zindagi mein bas mohabbat tum se hai
mere bahut hain is zamaane mein magar
dil ke mere bheetar ye khilwat tum se hai
tum vaada karke kyun nahin आए,कहो
dil ko mere ye saari nafrat tum se hai
meri koi auqaat to ab hai nahin
sab jaante mujhko fazilat tum se hai
taarif apne husn ki kyun karte ho
meri sanam hi khoob soorat tum se hai
aao yahan tum to mujhe raahat mile
is zindagi mein ab to ishrat tum se hai
paagal bana main jo zamaane mein fira
ye saari ki saari jahaalat tum se hai
koi bura maane bhala maane yahan
mujhko yahan dil se mohabbat tum se hai
जाने कहाँ हो तुम शिकायत तुम से है
मेरी मोहब्बत की क़यादत तुम से है
इक इल्तिजा है मेरी तुम आ जाओ अब
मेरी ये सारी अब तो हिम्मत तुम से है
तुम चाहे कुछ भी सोचो मेरे हक़ में याँ
सबसे ज़ियादा अब'अक़ीदत तुम से है
क्यूँ फ़िक्र हम करते ज़माने की यहाँ
इस ज़िंदगी में बस मोहब्बत तुम से है
मेरे बहुत हैं इस ज़माने में मगर
दिल के मेरे भीतर ये ख़ल्वत तुम से है
तुम वादा करके क्यूँ नहीं आए,कहो
दिल को मेरे ये सारी नफ़रत तुम से है
मेरी कोई औक़ात तो अब है नहीं
सब जानते मुझको फ़ज़ीलत तुम से है
ता'रीफ़ अपने हुस्न की क्यूँ करते हो
मेरी सनम ही ख़ूब सूरत तुम से है
आओ यहाँ तुम तो मुझे राहत मिले
इस ज़िंदगी में अब तो 'इशरत तुम से है
पागल बना मैं जो ज़माने में फिरा
ये सारी की सारी जहालत तुम से है
कोई बुरा माने भला माने यहाँ
मुझको यहाँ दिल से मोहब्बत तुम से है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Vaseem 'Haidar'
our suggestion based on Vaseem 'Haidar'
As you were reading Nafrat Shayari Shayari