mazhab badalna kitna ye aasaan ho gaya
yaaron suno vo ladka musalmaan ho gaya
kaise mere khilaaf ye sab bol saka hai
uska ye lahja dekh ke hairaan ho gaya
rishta nahin chalaana mujhe koi us se ab
ab se vo mera door ka mehmaan ho gaya
ab zindagi mein usko bulaana to hai nahin
phir yaad mein ye marne ka samaan ho gaya
bilkul meri jo qadr nahin karta hai kahi
dekho to uske haq mein pareshaan ho gaya
मज़हब बदलना कितना ये आसान हो गया
यारों सुनो वो लड़का मुसलमान हो गया
कैसे मेरे ख़िलाफ़ ये सब बोल सकता है
उसका ये लहजा देख के हैरान हो गया
रिश्ता नहीं चलाना मुझे कोई उस से अब
अब से वो मेरा दूर का मेहमान हो गया
अब ज़िंदगी में उसको बुलाना तो है नहीं
फिर याद में ये मरने का सामान हो गया
बिल्कुल मेरी जो क़द्र नहीं करता है कहीं
देखो तो उसके हक़ में परेशान हो गया
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Vaseem 'Haidar'
our suggestion based on Vaseem 'Haidar'
As you were reading Mazhab Shayari Shayari