kya ho gaya hai dil ko jo yun cheekhta hai ye
aawaaz roz roz kise de raha hai ye
duniya sharaab zehar ise naam kuchh bhi de
par ham to jaante hain ghamon kii dava hai ye
jaan ko meri qaraar bhi juz ranj-o-gham kahaan
ab koii mas'ala na raha mas'ala hai ye
ham se nigaah fer ke jaana huzoor ka
phir shartiya naya koii tarz-e-jafa hai ye
bhaaga kare udhar ki jidhar raasta nahin
dil ko kahein bhi kya ki kahaan maanta hai ye
ab aur chhediye na mere dil ko dekhiye
pehle hi zaar zaar lahu ro chuka hai ye
ik baar muntazir jo lagaaya zabaan se
phir umr bhar na jaayega kaisa nasha hai ye
क्या हो गया है दिल को जो यूँ चीख़ता है ये
आवाज़ रोज़ रोज़ किसे दे रहा है ये
दुनिया शराब ज़हर इसे नाम कुछ भी दे
पर हम तो जानते हैं ग़मों की दवा है ये
जाँ को मेरी क़रार भी जुज़ रंज-ओ-ग़म कहाँ
अब कोई मसअला न रहा मसअला है ये
हम से निगाह फेर के जाना हुज़ूर का
फिर शर्तिया नया कोई तर्ज़-ए-जफ़ा है ये
भागा करे उधर कि जिधर रास्ता नहीं
दिल को कहें भी क्या कि कहाँ मानता है ये
अब और छेड़िए न मेरे दिल को देखिए
पहले ही ज़ार ज़ार लहू रो चुका है ये
इक बार 'मुन्तज़िर' जो लगाया ज़बान से
फिर उम्र भर न जाएगा कैसा नशा है ये
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Vinamra Singh
our suggestion based on Vinamra Singh
As you were reading Nazar Shayari Shayari