yun to nigaah-e-shauq mein bhagwaan hain bahut
phir kyun hamaare dukh se vo anjaan hain bahut
ruksaar aankhen baal ada aur bhi kai
un pe to nazm kehne ko unwaan hain bahut
aayi vaba to aadmi yun roya cheekh kar
dekha jahaan jahaan wahin shamshaan hain bahut
shikwa shikaayaton ka sabab laazmi bhi hai
ham unse aur vo ham se pareshaan hain bahut
raaton ko jaagte hue hi bhor ho gayi
chadar mein un ki yaad-e-hawaadaan hain bahut
phoolon se rishta aur parindon se raabta
ghazlen hamaari isliye veeraan hain bahut
sheharg isee hi umr se kehne lage ghazal
sab dekh kar ke aap ko hairaan hain bahut
यूँ तो निगाह-ए-शौक़ में भगवान हैं बहुत
फिर क्यों हमारे दुख से वो अंजान हैं बहुत
रुख़सार, आँखें, बाल, अदा और भी कई
उन पे तो नज़्म कहने को उनवान हैं बहुत
आई वबा तो आदमी यूँ रोया चीख़ कर
देखा जहाँ जहाँ वहीं शमशान हैं बहुत
शिकवा शिकायतों का सबब लाज़मी भी है
हम उनसे और वो हम से परेशान हैं बहुत
रातों को जागते हुए ही भोर हो गयी
चादर में उन की याद-ए-हवादान हैं बहुत
फूलों से रिश्ता और परिंदों से राब्ता
ग़ज़लें हमारी इसलिए वीरान हैं बहुत
शहरग इसी ही उम्र से कहने लगे ग़ज़ल
सब देख कर के आप को हैरान हैं बहुत
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Anant Shahrag
our suggestion based on Anant Shahrag
As you were reading Gham Shayari Shayari