ajab haal duniya ka ham dekhte hain
faqat ab zamaane ke gham dekhte hain
bahaakar hamaare lahu ko hamesha
bahut khush tumhein maa qasam dekhte hain
kisi ka bigaara nahin kuchh bhi lekin
sabhi hampe dhhaate sitam dekhte hain
kabhi jinke haathon ki raunaq qalam thi
unhin haath mein aaj bam dekhte hain
kahaan log aise zamaane mein hain ab
ki jannat ko zere qadam dekhte hain
bahut aadmi hain zamaane mein lekin
yahan aaj insaan kam dekhte hain
bahut roz guzre dukhon mein hamaare
p allah ka ab karam dekhte hain
अजब हाल दुनिया का हम देखते हैं
फ़क़त अब ज़माने के ग़म देखते हैं
बहाकर हमारे लहू को हमेशा
बहुत ख़ुश तुम्हें माँ क़सम देखते हैं
किसी का बिगाड़ा नहीं कुछ भी लेकिन
सभी हमपे ढाते सितम देखते हैं
कभी जिनके हाथों की रौनक़ क़लम थी
उन्हीं हाथ में आज बम देखते हैं
कहाँ लोग ऐसे ज़माने में हैं अब
कि जन्नत को ज़ेरे क़दम देखते हैं
बहुत आदमी हैं ज़माने में लेकिन
यहाँ आज इंसान कम देखते हैं
बहुत रोज़ गुज़रे दुखों में हमारे
प अल्लाह का अब करम देखते हैं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Kumar Aryan
our suggestion based on Kumar Aryan
As you were reading Kashmir Shayari Shayari