ek tu hi to tha mera aur ab tu bhi nahin | एक तू ही तो था मेरा और अब तू भी नहीं

  - Vikas Shah musafir

ek tu hi to tha mera aur ab tu bhi nahin
kab se tanhaa hoon mera tere siva koi nahin

aakhiri pehal gaya tha le ke uske dar pe main
phir bhi usne mujhse bas yahi kaha abhi nahin

pyaar mein to vo hazaaron qasmen khaaya karti thi
vo bhi apni khaati aur kahti aap ki nahin

chhodna hi tha to kyun mili thi bas ye soch kar
dil mein jo lagi thi aag vo abhi bujhi nahin

baat to karo magar zara sa dekh bhaal kar
vo jawaab dene mein kabhi bhi chookti nahin

mere vansh mein bachi ye aakhiri nishaani hai
ghar hai ye mere liye ye koi jhopdi nahin

एक तू ही तो था मेरा और अब तू भी नहीं
कब से तन्हा हूँ मेरा तेरे सिवा कोई नहीं

आख़िरी पहल गया था ले के उसके दर पे मैं
फिर भी उसने मुझसे बस यही कहा अभी नहीं

प्यार में तो वो हज़ारों क़समें खाया करती थी
वो भी अपनी खाती और कहती आप की नहीं

छोड़ना ही था तो क्यों मिली थी बस ये सोच कर
दिल में जो लगी थी आग वो अभी बुझी नहीं

बात तो करो मगर ज़रा सा देख भाल कर
वो जवाब देने में कभी भी चूकती नहीं

मेरे वंश में बची ये आख़िरी निशानी है
घर है ये मेरे लिए ये कोई झोपड़ी नहीं

  - Vikas Shah musafir

Ghar Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Vikas Shah musafir

As you were reading Shayari by Vikas Shah musafir

Similar Writers

our suggestion based on Vikas Shah musafir

Similar Moods

As you were reading Ghar Shayari Shayari