kahaan kisi ko kabhi dikhe hain udaas chehre
tamaam chehron mein chip gaye hain udaas chehre
ye khush-khisaali ka bas nahin hai samajh le mujhko
meri udaasi samajh rahe hain udaas chehre
udaas hona bura nahin hai ye khoob samjho
yaqeen jaano nahin bure hain udaas chehre
bhale hazaaron pahan ke aao naye mukhote
meri nazar se nahin chhupe hain udaas chehre
kabhi jo khul kar ke ro liye the vo aaj khush hain
magar jo chup the vo ban chuke hain udaas chehre
ye baat sach hai bujhe-bujhe hain haseen chehre
magar ye kya hai khile-khile hain udaas chehre
कहाँ किसी को कभी दिखे हैं उदास चेहरे
तमाम चेहरों में छिप गए हैं उदास चेहरे
ये ख़ुश-ख़िसाली का बस नहीं है समझ ले मुझको
मिरी उदासी समझ रहे हैं उदास चेहरे
उदास होना बुरा नहीं है ये ख़ूब समझो
यक़ीन जानो नहीं बुरे हैं उदास चेहरे
भले हज़ारों पहन के आओ नए मुखौटे
मिरी नज़र से नहीं छिपे हैं उदास चेहरे
कभी जो खुल कर के रो लिए थे वो आज ख़ुश हैं
मगर जो चुप थे वो बन चुके हैं उदास चेहरे
ये बात सच है बुझे-बुझे हैं हसीन चेहरे
मगर ये क्या है खिले-खिले हैं उदास चेहरे
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by SHABAN NAZIR
our suggestion based on SHABAN NAZIR
As you were reading Mood off Shayari Shayari