khata hamse hui hai ab kisi ko kya bataayein ham
kai ilzaam sar pe hain kahaan yun bhag jaayen ham
mulaqaatein agar unse kabhi phir se hui to phir
nazar kambakht ye unse magar kaise milaayein ham
wahi naaraz hai ham se jise ham sab bataate hain
agar vo bhi rahe naaraz kis pe hak jataayein ham
tumhein maaloom hai kya kis tarah ham kaid hain tum mein
hue hain qaid phir ab kyun tumhaare paas aayein ham
ख़ता हमसे हुई है अब किसी को क्या बताएँ हम
कई इल्ज़ाम सर पे हैं कहाँ यूँ भाग जाएँ हम
मुलाक़ातें अगर उनसे कभी फिर से हुईं तो फिर
नज़र कमबख़्त ये उनसे मगर कैसे मिलाएँ हम
वही नाराज़ है हम से जिसे हम सब बताते हैं
अगर वो भी रहे नाराज़ किस पे हक जताएँ हम
तुम्हें मालूम है क्या किस तरह हम कैद हैं तुम में
हुए हैं क़ैद फिर अब क्यों तुम्हारे पास आएँ हम
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Umashankar Lekhwar
our suggestion based on Umashankar Lekhwar
As you were reading Gunaah Shayari Shayari