zeest jismein tu shaamil nahin hai
phir vo jeene ke qaabil nahin hai
khatm hoti nahin zindagi yah
maut saanson ki manzil nahin hai
sach ki raahon pe chal kar to dekho
kaam itna bhi mushkil nahin hai
hamne paaya bahut kuchh hai lekin
yah inaayat se haasil nahin hai
daagh daaman se khun ke chhuda kar
woh maseeha hai qaateel nahin hai
waqt ki maar se hai pareshaan
aadmi itna jaahil nahin hai
hai bahut khoobsurat vo lekin
uske seene mein bas dil nahin hai
is haqeeqat se ghaafil nahin hoon
meri kashti ka saahil nahin hai
ज़ीस्त जिसमें तू शामिल नहीं है
फिर वो जीने के क़ाबिल नहीं है
ख़त्म होती नहीं ज़िंदगी यह
मौत सांँसों की मंज़िल नहीं है
सच की राहों पे चल कर तो देखो
काम इतना भी मुश्किल नहीं है
हमने पाया बहुत कुछ है लेकिन
यह इनायत से हासिल नहीं है
दाग़ दामन से ख़ूँ के छुड़ा कर
वह मसीहा है क़ातिल नहीं है
वक़्त की मार से है परेशाँ
आदमी इतना जाहिल नहीं है
है बहुत ख़ूबसूरत वो लेकिन
उसके सीने में बस दिल नहीं है
इस हक़ीक़त से ग़ाफ़िल नहीं हूंँ
मेरी कश्ती का साहिल नहीं है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Nazar Dwivedi
our suggestion based on Nazar Dwivedi
As you were reading Life Shayari Shayari