mujh se pehli si mohabbat meri mehboob na maang | मुझ से पहली सी मोहब्बत मिरी महबूब न माँग

  - Faiz Ahmad Faiz

mujh se pehli si mohabbat meri mehboob na maang

mujh se pehli si mohabbat meri mehboob na maang
main ne samjha tha ki tu hai to darkhshan hai hayaat
tera gham hai to gham-e-dehr ka jhagda kya hai
teri soorat se hai aalam mein bahaaron ko sabaat
teri aankhon ke siva duniya mein rakha kya hai
tu jo mil jaaye to taqdeer nigoon ho jaaye
yun na tha main ne faqat chaaha tha yun ho jaaye
aur bhi dukh hain zamaane mein mohabbat ke siva
raahatein aur bhi hain vasl ki raahat ke siva

an-ginat sadiyon ke tareek bheemaana tilism
resham o atlas o kamkhaab mein bunwaaye hue
jaa-b-jaa bikte hue koocha-o-baazaar mein jism
khaak mein luthde hue khoon mein nahlaaye hue

jism nikle hue amraaz ke tannooron se
peep bahti hui galte hue naasooron se
laut jaati hai udhar ko bhi nazar kya kijeye
ab bhi dilkash hai tira husn magar kya kijeye

aur bhi dukh hain zamaane mein mohabbat ke siva
raahatein aur bhi hain vasl ki raahat ke siva
mujh se pehli si mohabbat meri mehboob na maang

मुझ से पहली सी मोहब्बत मिरी महबूब न माँग

मुझ से पहली सी मोहब्बत मिरी महबूब न माँग
मैं ने समझा था कि तू है तो दरख़्शाँ है हयात
तेरा ग़म है तो ग़म-ए-दहर का झगड़ा क्या है
तेरी सूरत से है आलम में बहारों को सबात
तेरी आँखों के सिवा दुनिया में रक्खा क्या है
तू जो मिल जाए तो तक़दीर निगूँ हो जाए
यूँ न था मैं ने फ़क़त चाहा था यूँ हो जाए
और भी दुख हैं ज़माने में मोहब्बत के सिवा
राहतें और भी हैं वस्ल की राहत के सिवा

अन-गिनत सदियों के तारीक बहीमाना तिलिस्म
रेशम ओ अतलस ओ कमख़ाब में बुनवाए हुए
जा-ब-जा बिकते हुए कूचा-ओ-बाज़ार में जिस्म
ख़ाक में लुथड़े हुए ख़ून में नहलाए हुए

जिस्म निकले हुए अमराज़ के तन्नूरों से
पीप बहती हुई गलते हुए नासूरों से
लौट जाती है उधर को भी नज़र क्या कीजे
अब भी दिलकश है तिरा हुस्न मगर क्या कीजे

और भी दुख हैं ज़माने में मोहब्बत के सिवा
राहतें और भी हैं वस्ल की राहत के सिवा
मुझ से पहली सी मोहब्बत मिरी महबूब न माँग

  - Faiz Ahmad Faiz

Taareef Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Faiz Ahmad Faiz

As you were reading Shayari by Faiz Ahmad Faiz

Similar Writers

our suggestion based on Faiz Ahmad Faiz

Similar Moods

As you were reading Taareef Shayari Shayari