main aisa nahin tha banaya gaya hoon | मैं ऐसा नहीं था, बनाया गया हूँ

  - Kashyap Jani

main aisa nahin tha banaya gaya hoon
haseenon ke haathon sataaya gaya hoon

mera dil lagana to mumkin nahin tha
badi saajishon se fasaaya gaya hoon

meri jaan ke saude vo karte hain yaaron
main itna bhi sasta banaya gaya hoon

zahar thi ada to hasi bhi thi qaatil
main aise shikanjon mein laaya gaya hoon

mere dil se khelo meri jaan le lo
tumhaara khilauna banaya gaya hoon

ye jab bhi hai chaaha ke aaj boluun
hamesha ke jaise dabaya gaya hoon

sabhi ke labon par kahaani thi meri
zamaane se main ab bhulaaya gaya hoon

kiye zulm jo vo sitamgar the
aise main zulmon ke haathon rulaaya gaya hoon

tadap ke sada aai mere lahu se
kaza par bhi apni nachaaya gaya hoon

मैं ऐसा नहीं था, बनाया गया हूँ
हसीनों के हाथों, सताया गया हूँ

मेरा दिल लगाना तो, मुमकिन नहीं था
बड़ी साजिशों से फसाया गया हूँ

मेरी जां के सौदे, वो करते हैं यारों
मैं इतना भी सस्ता, बनाया गया हूँ

ज़हर थी अदा तो, हँसी भी थी क़ातिल
मैं ऐसे शिकंजों, में लाया गया हूँ

मेरे दिल से खेलो, मेरी जान ले लो
तुम्हारा खिलौना बनाया गया हूँ

ये जब भी है चाहा, के आज बोलूँ
हमेशा के जैसे, दबाया गया हूँ

सभी के लबों पर, कहानी थी मेरी
ज़माने से मैं अब, भुलाया गया हूँ

किये ज़ुल्म जो वो, सितमगर थे
ऐसे मैं ज़ुल्मों के हाथों, रुलाया गया हूँ

तड़प के सदा आइ, मेरे लहू से
कज़ा पर भी अपनी, नचाया गया हूँ

  - Kashyap Jani

Child labour Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Kashyap Jani

As you were reading Shayari by Kashyap Jani

Similar Writers

our suggestion based on Kashyap Jani

Similar Moods

As you were reading Child labour Shayari Shayari