khwaab ki tarah se hai yaad ki tum aaye the | ख़्वाब की तरह से है याद कि तुम आए थे

  - Jagan Nath Azad

khwaab ki tarah se hai yaad ki tum aaye the
jis tarah daaman-e-mashriq mein sehar hoti hai
zarre zarre ko tajalli ki khabar hoti hai
aur jab noor ka sailaab guzar jaata hai
raat bhar ek andhere mein basar hoti hai
kuchh isee tarah se hai yaad ki tum aaye the

jaise gulshan mein dabey paanv bahaar aati hai
patti patti ke liye le ke nikhaar aati hai
aur phir waqt vo aata hai ki har mauj-e-saba
apne daaman mein liye gard-o-ghubaar aati hai
kuchh isee tarah se hai yaad ki tum aaye the

jis tarah mahw-e-safar ho koi veeraane mein
aur raaste mein kahi koi khayaabaan aa jaaye
chand lamhon mein khayaabaan ke guzar jaane par
saamne phir wahi duniya-e-bayaabaan aa jaaye
kuchh isee tarah se hai yaad ki tum aaye the

ख़्वाब की तरह से है याद कि तुम आए थे
जिस तरह दामन-ए-मशरिक़ में सहर होती है
ज़र्रे ज़र्रे को तजल्ली की ख़बर होती है
और जब नूर का सैलाब गुज़र जाता है
रात भर एक अँधेरे में बसर होती है
कुछ इसी तरह से है याद कि तुम आए थे

जैसे गुलशन में दबे पाँव बहार आती है
पत्ती पत्ती के लिए ले के निखार आती है
और फिर वक़्त वो आता है कि हर मौज-ए-सबा
अपने दामन में लिए गर्द-ओ-ग़ुबार आती है
कुछ इसी तरह से है याद कि तुम आए थे

जिस तरह महव-ए-सफ़र हो कोई वीराने में
और रस्ते में कहीं कोई ख़याबाँ आ जाए
चंद लम्हों में ख़याबाँ के गुज़र जाने पर
सामने फिर वही दुनिया-ए-बयाबाँ आ जाए
कुछ इसी तरह से है याद कि तुम आए थे

  - Jagan Nath Azad

Neend Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Jagan Nath Azad

As you were reading Shayari by Jagan Nath Azad

Similar Writers

our suggestion based on Jagan Nath Azad

Similar Moods

As you were reading Neend Shayari Shayari