usi ke qadmon se ek chehra nikaalna hai
gire shajar se hawa ka shajra nikaalna hai
main der se ek dar pe khaali khada hua hoon
kisi ki masroofiyat mein waqfa nikaalna hai
mujhe pahaadon ko khodte dekh kya rahe ho
kahi pahunchana nahin hai rasta nikaalna hai
bade-badoon se akad ke milta hoon aaj-kal main
mujhe khudaaon mein ek banda nikaalna hai
bahut dinon se sukoon faila hai zindagi mein
isee tasalli mein ab achambha nikaalna hai
उसी के क़दमों से एक चेहरा निकालना है
गिरे शजर से हवा का शजरा निकालना है
मैं देर से एक दर पे ख़ाली खड़ा हुआ हूँ
किसी की मसरूफ़ियत में वक़्फ़ा निकालना है
मुझे पहाड़ों को खोदते देख क्या रहे हो
कहीं पहुँचना नहीं है रस्ता निकालना है
बड़े-बड़ों से अकड़ के मिलता हूँ आज-कल मैं
मुझे ख़ुदाओं में एक बंदा निकालना है
बहुत दिनों से सुकून फैला है ज़िंदगी में
इसी तसल्ली में अब अचम्भा निकालना है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Osama Zakir
our suggestion based on Osama Zakir
As you were reading Attitude Shayari Shayari