ham phire shehar mein aawaara-o-rooswa barson
dil ke mandir mein tire vaham ko pooja barson
vo badan chaand ke jaisa tha mere aks ke saath
din ki raunaq mein bhi ik khwaab sa dekha barson
qurb ne khol diye husn ke uqde saare
zindagi khaati rahi ishq ka dhoka barson
ab to hansne ki ijaazat gham-e-dauraan de de
waqt ro ro ke bahut ham ne guzaara barson
koi aisa na mila jis se khabar kuchh milti
apna haal apni hi tasveer se poocha barson
ab nahin taab ki sadmaat ki yoorish jhele
talkhiyaan hoti raheen dil ko gawara barson
ye alag baat ki raas aaya tira gham ham ko
warna ghere raha yun to gham-e-duniya barson
us se poocho ki hai kya kaif-e-shikast-e-ummeed
jis ne jhela hai gham-e-wa'ada-e-farda barson
ek maasoom lagaavat thi ki jis ki khaatir
dil ko marghoob rahi ranjish-e-beja barson
tum ki har saans mein har aah mein har khwaab mein the
phir bhi ham apne ko paate rahe tanhaa barson
aql suljhaa na saki uljhe masaail qadir
aankh ne dekha hai qismat ka tamasha barson
हम फिरे शहर में आवारा-ओ-रूस्वा बरसों
दिल के मंदिर में तिरे वहम को पूजा बरसों
वो बदन चाँद के जैसा था मिरे अक्स के साथ
दिन की रौनक़ में भी इक ख़्वाब सा देखा बरसों
क़ुर्ब ने खोल दिए हुस्न के उक़्दे सारे
ज़िंदगी खाती रही इश्क़ का धोका बरसों
अब तो हँसने की इजाज़त ग़म-ए-दौराँ दे दे
वक़्त रो रो के बहुत हम ने गुज़ारा बरसों
कोई ऐसा न मिला जिस से ख़बर कुछ मिलती
अपना हाल अपनी ही तस्वीर से पूछा बरसों
अब नहीं ताब कि सदमात की यूरिश झेले
तल्ख़ियाँ होती रहीं दिल को गवारा बरसों
ये अलग बात कि रास आया तिरा ग़म हम को
वर्ना घेरे रहा यूँ तो ग़म-ए-दुनिया बरसों
उस से पूछो कि है क्या कैफ़-ए-शिकस्त-ए-उम्मीद
जिस ने झेला है ग़म-ए-वा'दा-ए-फ़र्दा बरसों
एक मासूम लगावट थी कि जिस की ख़ातिर
दिल को मर्ग़ूब रही रंजिश-ए-बेजा बरसों
तुम कि हर साँस में हर आह में हर ख़्वाब में थे
फिर भी हम अपने को पाते रहे तन्हा बरसों
अक़्ल सुलझा न सकी उलझे मसाइल 'क़ादिर'
आँख ने देखा है क़िस्मत का तमाशा बरसों
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Qadir Siddiqi
our suggestion based on Qadir Siddiqi
As you were reading Aawargi Shayari Shayari