tire mizgaan ki faujen baandh kar saf jab hui khariyaan | तिरे मिज़्गाँ की फ़ौजें बाँध कर सफ़ जब हुईं ख़ड़ियाँ

  - Taban Abdul Hai

tire mizgaan ki faujen baandh kar saf jab hui khariyaan
kiya aalam ko saare qatl lo theen har taraf padiyaan

dam apne ka shumaar is tarah tere gham mein karta hoon
ki jaise sheesha-e-sa'at mein ginata hai koi ghadiyan

humeen ko khaana-e-zanjeer se ulfat hai zindaan mein
vagarna ek jhatke mein juda ho jaayen sab kadiyaan

tujhe dekha hai jab se bulbul-o-gul ne gulistaan mein
padi hain rishta-e-ulfat mein un ke tab se gul-chhadiyaan

fugaan aata nahin vo shokh mere haath ai taabaan
lakeeren ungliyon ki mit gaeein ginte hue ghadiyan

तिरे मिज़्गाँ की फ़ौजें बाँध कर सफ़ जब हुईं ख़ड़ियाँ
किया आलम को सारे क़त्ल लो थीं हर तरफ़ पड़ियाँ

दम अपने का शुमार इस तरह तेरे ग़म में करता हूँ
कि जैसे शीशा-ए-साअत में गिनता है कोई घड़ियाँ

हमीं को ख़ाना-ए-ज़ंजीर से उल्फ़त है ज़िंदाँ में
वगर्ना एक झटके में जुदा हो जाएँ सब कड़ियाँ

तुझे देखा है जब से बुलबुल-ओ-गुल ने गुलिस्ताँ में
पड़ी हैं रिश्ता-ए-उल्फ़त में उन के तब से गुल-छड़ियाँ

फ़ुग़ाँ आता नहीं वो शोख़ मेरे हाथ ऐ 'ताबाँ'
लकीरें उँगलियों की मिट गईं गिनते हुए घड़ियाँ

  - Taban Abdul Hai

Dard Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Taban Abdul Hai

As you were reading Shayari by Taban Abdul Hai

Similar Writers

our suggestion based on Taban Abdul Hai

Similar Moods

As you were reading Dard Shayari Shayari