bahut khoob-soorat ho tum bahut khoob-soorat ho tum
kabhi main jo kah doon mohabbat hai tum se
to mujh ko khuda raa galat mat samajhna
ki meri zaroorat ho tum
bahut khoob-soorat ho tum
hain phoolon ki daali pe baanhe tumhaari
hain khaamosh jaadu nigaahen tumhaari
jo kaante hoon sab apne daaman mein rakh luun
sajaun main kaliyon se raahen tumhaari
nazar se zamaane ki khud ko bachaana
kisi aur se dekho dil mat lagana
ki meri amaanat ho tum
bahut khoob-soorat ho tum
kabhi jugnuon ki qataaron mein dhoondha
chamakte hue chaand-taaron mein dhoondha
khajaon mein dhoondha bahaaron mein dhoondha
machalte hue aabsaaron mein dhoondha
haqeeqat mein dekha fansaane mein dekha
na tum sa hasi is zamaane dekha
na duniya ki rangeen mehfil mein paaya
jo paaya tumhein apna hi dil mein paaya
ek aisi masarrat ho tum
bahut khoob-soorat ho tum
hai chehra tumhaara ki din hai sunhara
hai chehra tumhaara ki din hai sunhara
aur is par ye kaali ghataon ka pahra
gulaabon se naazuk mahakta badan hai
ye lab hain tumhaare ki khilta chaman hai
bikhero jo zulfen to sharmaae baadal
farishte bhi dekhen to ho jaayen paagal
vo paakizaa moorat ho tum bahut khoob-soorat ho tum
jo ban ke kali muskuraati hai akshar
shab hijr mein jo rulaati hai akshar
jo lamhon hi lamhon mein duniya badal de
jo sha'ir ko de jaaye pahluu ghazal ke
chhupaana jo chahein chhupaai na jaaye
bhulaana jo chahein bhulaai na jaaye
vo pehli mohabbat ho tum bahut khoob-soorat ho tum
bahut khoob-soorat ho tum
bahut khoob-soorat ho tum bahut khoob-soorat ho tum
बहुत ख़ूब-सूरत हो तुम, बहुत ख़ूब-सूरत हो तुम
कभी मैं जो कह दूँ मोहब्बत है तुम से
तो मुझ को ख़ुदारा ग़लत मत समझना
कि मेरी ज़रूरत हो तुम
बहुत ख़ूब-सूरत हो तुम
हैं फूलों की डाली पे बाँहें तुम्हारी
हैं ख़ामोश जादू निगाहें तुम्हारी
जो काँटे हूँ सब अपने दामन में रख लूँ
सजाऊँ मैं कलियों से राहें तुम्हारी
नज़र से ज़माने की ख़ुद को बचाना
किसी और से देखो दिल मत लगाना
कि मेरी अमानत हो तुम
बहुत ख़ूब-सूरत हो तुम...
कभी जुगनुओं की क़तारों में ढूँडा
चमकते हुए चाँद तारों में ढूँडा
ख़िज़ाओं में ढूँडा बहारों में ढूँडा
मचलते हुए आबसारों में ढूँडा
हक़ीक़त में देखा, फ़साने में देखा
न तुम सा हँसी, इस ज़माने देखा
न दुनिया की रंगीन महफ़िल में पाया
जो पाया तुम्हें अपना ही दिल में पाया
एक ऐसी मसर्रत हो तुम
बहुत ख़ूब-सूरत हो तुम
है चेहरा तुम्हारा कि दिन है सुनहरा
है चेहरा तुम्हारा कि दिन है सुनहरा
और इस पर ये काली घटाओं का पहरा
गुलाबों से नाज़ुक महकता बदन है
ये लब हैं तुम्हारे कि खिलता चमन है
बिखेरो जो ज़ुल्फ़ें तो शरमाए बादल
फ़रिश्ते भी देखें तो हो जाएँ पागल
वो पाकीज़ा मूरत हो तुम बहुत ख़ूब-सूरत हो तुम
जो बन के कली मुस्कुराती है अक्सर
शब हिज्र में जो रुलाती है अक्सर
जो लम्हों ही लम्हों में दुनिया बदल दे
जो शाइ'र को दे जाए पहलू ग़ज़ल के
छुपाना जो चाहें छुपाई न जाए
भुलाना जो चाहें भुलाई न जाए
वो पहली मोहब्बत हो तुम बहुत ख़ूब-सूरत हो तुम
बहुत ख़ूब-सूरत हो तुम
बहुत ख़ूब-सूरत हो तुम बहुत ख़ूब-सूरत हो तुम
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Tahir Faraz
our suggestion based on Tahir Faraz
As you were reading Valentine Shayari Shayari