jab se fal aaye hain shaakhon mein lachak jaari hai | जब से फल आए हैं शाख़ों में लचक जारी है

  - Updesh 'Vidyarthi'

jab se fal aaye hain shaakhon mein lachak jaari hai
mere baagaan mein chidiyon ki chahak jaari hai

neend gahri thi ki khwaabon mein chhua tha usne
neend tooti hai magar phir bhi mahak jaari hai

mere mahtaab teri yaad mein vo jaadu hai
neend ghaayab hai ki aankhon mein chamak jaari hai

hamne ek baar rehersal pe suna tha usko
aaj tak kaan mein paayal ki khanak jaari hai

jab se un mad-bhari aankhon ko maine dekha hai
waadi-e-ishq mein jeene ki lalak jaari hai

khul ke izhaar sar-e-aam kiya hai hamne
farq itna hai ki lafzon mein jhijhak jaari hai

mere mehboob tu saanso mein ghula hai meri
ashk meethe hain mohabbat mein sisak jaari hai

jee mein aata hai ki seene se laga luun usko
aaj tak bhi use khone ki kasak jaari hai

yaad hai baat bade shauq se vo kehta tha
tere hi naam se is dil ki dhadak jaari hai

hosh mein hoon ki kisi aur ka hak hai us par
laut kar aayega ek din ye sank jaari hai

jaate jaate hue farmaan diya tha usne
uska farmaan wahi aaj talak jaari hai

apne is qaid se azaad karo ab mujhko
aise zindaan mein guzishta ki jhalak jaari hai

mere qismat mein to kuchh aur hi likh rakha hai
tere kirdaar pe bekar hi shak jaari hai

जब से फल आए हैं शाख़ों में लचक जारी है
मेरे बाग़ान में चिड़ियों की चहक जारी है

नींद गहरी थी कि ख़्वाबों में छुआ था उसने
नींद टूटी है मगर फिर भी महक जारी है

मेरे महताब तेरी याद में वो जादू है
नींद ग़ायब है कि आँखों में चमक जारी है

हमने एक बार रिहर्सल पे सुना था उसको
आज तक कान में पायल की खनक जारी है

जब से उन मद-भरी आँखों को मैंने देखा है
वादी-ए-इश्क़ में जीने की ललक जारी है

खुल के इज़हार सर-ए-आम किया है हमने
फ़र्क़ इतना है कि लफ़्ज़ों में झिझक जारी है

मेरे महबूब तू साँसो में घुला है मेरी
अश्क मीठे हैं मोहब्बत में सिसक जारी है

जी में आता है कि सीने से लगा लूँ उसको
आज तक भी उसे खोने की कसक जारी है

याद है बात बड़े शौक़ से वो कहता था
तेरे ही नाम से इस दिल की धड़क जारी है

होश में हूँ कि किसी और का हक है उस पर
लौट कर आएगा एक दिन ये सनक जारी है

जाते जाते हुए फ़रमान दिया था उसने
उसका फ़रमान वही आज तलक जारी है

अपने इस क़ैद से आज़ाद करो अब मुझको
ऐसे ज़िंदाँ में गुज़िश्ता की झलक जारी है

मेरे क़िस्मत में तो कुछ और ही लिख रक्खा है
तेरे किरदार पे बेकार ही शक जारी है

  - Updesh 'Vidyarthi'

Khushboo Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Updesh 'Vidyarthi'

As you were reading Shayari by Updesh 'Vidyarthi'

Similar Writers

our suggestion based on Updesh 'Vidyarthi'

Similar Moods

As you were reading Khushboo Shayari Shayari