"Karl marx" | "कार्ल मार्क्स" - Wamiq Jaunpuri

"Karl marx"

marks ke ilm o fataanat ka nahin koi jawaab
kaun us ke dark se hota nahin hai faiz-yaab

us ki danaai ka haasil naakhun-e-uqda-kusha
tabnaaki-e-zameer-o-zeerki ka aftaab
chaahne waalon ka us ki zikr hi kya kijie
us ke dushman bhi sirhaane rakhte hain us ki kitaab
maaddi taarikh-e-aalam jis ki taalif-e-azeem
taas capital hai ya zeest ka lubb-e-lubaab
padh ke jis ke ho gaeein hushyaar aqwaam-e-ghulaam
ishtiraaki falsafa ka khul gaya har dil mein baab
kitne dozakh us ke ik manshoor se jannat bane
kitne seharaaon ko jis ne kar diya shehar-e-gulaab
marks ne science o insaan ko kiya hai ham-kinaar
zehan ko baksha shoor-e-zindagaani ka nisaab
us ki beenish us ki vajdaani-nigaah-e-haq-shanaas
kar gai jo chehra-e-iflas-e-zar ko be-naqaab
ghasb-e-ujrat ko diya sarmaaya ka jis ne laqab
be-hisaab us ki baseerat us ki mantiq la-jawaab
aftaab taaza ki us ne basharat di hamein
us ki har peshan-goi hai barfanda naqaab
koi quwwat us ki sadd-e-raah ban sakti nahin
waqt ka farmaan jab aata hai ban kar inqilaab
ahl-e-danish ka rajjaz aur seena-e-dahqaan ki dhaal
lashkar mazdoor ke hain ham-safeer o ham-rikaab
kaatti hai seher-e-sultaani ko jab moosa ki zarb
satwat-e-firaun ho jaati hai az khud ghark-e-aab
aaj ki firauniyat bhi kuchh isee andaaz se
rafta rafta hoti jaayegi shikaar-e-inqilaab
lad raha hai jang aakhir keesa-e-sarmaaya-daar
jauhri hathiyaar se karta nahin jo ijtinaab
apne mustaqbil se taghooti tamaddun ko hai yaas
deedaani hai dushman-e-insaaniyat ka iztiraab
hazrat-e-iqbaal ka iblis-e-kochak khauf se
larza-bar-andaam yun shaitan se karta hai khitaab
pandit o mulla o raahib be-zarar thehre magar
tootne waala hai tujh par ik yahoodi ka itaab
vo kaleem-e-be-tajalli vo maseeh-e-be-salib
neest paighambar o lekin dar baghal daard kitaab

"कार्ल मार्क्स"


मार्क्स के इल्म ओ फ़तानत का नहीं कोई जवाब
कौन उसके दर्क से होता नहीं है फ़ैज़-याब

उस की दानाई का हासिल नाख़ुन-ए-उक़्दा-कुशा
ताबनाकी-ए-ज़मीर-ओ-ज़ीरकी का आफ़्ताब
चाहने वालों का उस की ज़िक्र ही क्या कीजिए
उस के दुश्मन भी सिरहाने रखते हैं उस की किताब
माद्दी तारीख़-ए-आलम जिस की तालीफ़-ए-अज़ीम
तास कैपिटाल है या ज़ीस्त का लुब्ब-ए-लुबाब
पढ़ के जिस के हो गईं हुश्यार अक़वाम-ए-ग़ुलाम
इश्तिराकी फ़ल्सफ़ा का खुल गया हर दिल में बाब
कितने दोज़ख़ उस के इक मंशूर से जन्नत बने
कितने सहराओं को जिस ने कर दिया शहर-ए-गुलाब
मार्क्स ने साइंस ओ इंसाँ को किया है हम-कनार
ज़ेहन को बख़्शा शुऊर-ए-ज़िंदगानी का निसाब
उस की बींनिश उस की वज्दानी-निगाह-ए-हक़-शनास
कर गई जो चेहरा-ए-इफ़्लास-ए-ज़र को बे-नक़ाब
'ग़सब'-ए-उजरत को दिया 'सरमाया' का जिस ने लक़ब
बे-हिसाब उस की बसीरत उस की मंतिक़ ला-जवाब
आफ़्ताब ताज़ा की उस ने बशारत दी हमें
उस की हर पेशन-गोई है बरफ़्गंदा नक़ाब
कोई क़ुव्वत उस की सद्द-ए-राह बन सकती नहीं
वक़्त का फ़रमान जब आता है बन कर इंक़िलाब
अहल-ए-दानिश का रजज़ और सीना-ए-दहक़ाँ की ढाल
लश्कर मज़दूर के हैं हम-सफ़ीर ओ हम-रिकाब
काटती है सेहर-ए-सुल्तानी को जब मूसा की ज़र्ब
सतवत-ए-फ़िरऔन हो जाती है अज़ ख़ुद ग़र्क़-ए-आब
आज की फ़िरऔनियत भी कुछ इसी अंदाज़ से
रफ़्ता रफ़्ता होती जाएगी शिकार-ए-इंक़िलाब
लड़ रहा है जंग आख़िर कीसा-ए-सरमाया-दार
जौहरी हथियार से करता नहीं जो इज्तिनाब
अपने मुस्तक़बिल से ताग़ूती तमद्दुन को है यास
दीदनी है दुश्मन-ए-इंसानियत का इज़्तिराब
हज़रत-ए-इक़बाल का इब्लीस-ए-कोचक ख़ौफ़ से
लरज़ा-बर-अंदाम यूँ शैताँ से करता है ख़िताब
पंडित ओ मुल्ला ओ राहिब बे-ज़रर ठहरे मगर
टूटने वाला है तुझ पर इक यहूदी का इताब
वो कलीम-ए-बे-तजल्ली वो मसीह-ए-बे-सलीब
नीस्त पैग़म्बर ओ लेकिन दर बग़ल दारद किताब

- Wamiq Jaunpuri
0 Likes

Charagh Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Wamiq Jaunpuri

As you were reading Shayari by Wamiq Jaunpuri

Similar Writers

our suggestion based on Wamiq Jaunpuri

Similar Moods

As you were reading Charagh Shayari Shayari