apni duniya basa raha hoon main
ja tujhe ab bhula raha hoon main
aaj ki shab badi qayamat hai
waqai sone ja raha hoon main
haan muhabbat kabhi nahin mitati
khud ko lekin mita raha hoon main
us ki khushiyon ke vaaste logon
baar ae gham bhi utha raha hoon main
ya khuda sun le iltijaa meri
dar tira khatkhataa raha hoon main
ye dhuaan be sabab nahin uthata
apna seena jala raha hoon main
faiz urdu adab ki duniya mein
apna jalwa dikha raha hoon main
अपनी दुनिया बसा रहा हूँ मैं
जा तुझे अब भुला रहा हूँ मैं
आज की शब बड़ी क़यामत है
वाक़ई सोने जा रहा हूँ मैं
हाँ मुहब्बत कभी नहीं मिटती
ख़ुद को लेकिन मिटा रहा हूँ मैं
उस की ख़ुशीयों के वास्ते लोगों
बार ए ग़म भी उठा रहा हूँ मैं
या ख़ुदा सुन ले इल्तिजा मेरी
दर तिरा खटखटा रहा हूँ मैं
ये धुआँ बे सबब नहीं उठता
अपना सीना जला रहा हूँ मैं
फ़ैज़ उर्दू अदब की दुनिया में
अपना जलवा दिखा रहा हूँ मैं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Dard Faiz Khan
our suggestion based on Dard Faiz Khan
As you were reading Duniya Shayari Shayari