na jaane kyun mera ab dil pe ikhtiyaar nahin | न जाने क्यों मिरा अब दिल पे इख़्तियार नहीं

  - Dard Faiz Khan

na jaane kyun mera ab dil pe ikhtiyaar nahin
firaq ae yaar mein ik pal ise qaraar nahin

kisi ke ishq mein khud ko fana jo kar leta
mujhe bhi shehar mein milta kabhi vaqaar nahin

dil o dimaagh ye padhta tha faatiha kis par
mere vujood mein koi to ab mazaar nahin

gulon mein rang hi tujh se hai isliye shaayad
bahaar jis ko samjhte hain vo bahaar nahin

pada hua tha lahd mein magar sukoon kahaan
ki faiz murda badan mahve intizaar nahin

न जाने क्यों मिरा अब दिल पे इख़्तियार नहीं
फ़िराक़ ए यार में इक पल इसे क़रार नहीं

किसी के इश्क़ में ख़ुद को फ़ना जो कर लेता
मुझे भी शहर में मिलता कभी वक़ार नहीं

दिल ओ दिमाग़ ये पढ़ता था फ़ातिहा किस पर
मिरे वजूद में कोई तो अब मज़ार नहीं

गुलों में रंग ही तुझ से है इसलिए शायद
बहार जिस को समझते हैं वो बहार नहीं

पड़ा हुआ था लहद में मगर सुकून कहाँ
कि फैज़ मुर्दा बदन महवे इंतिज़ार नहीं

  - Dard Faiz Khan

Diversity Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Dard Faiz Khan

As you were reading Shayari by Dard Faiz Khan

Similar Writers

our suggestion based on Dard Faiz Khan

Similar Moods

As you were reading Diversity Shayari Shayari