tameez-e-pisar-e-zameen wa ibn-e-falak na karna | तमीज़-ए-पिसर-ए-ज़मीन व इब्न-ए-फ़लक न करना

  - Aftab Iqbal Shamim

tameez-e-pisar-e-zameen wa ibn-e-falak na karna
tum aadmi ho to aadmi ki hatak na karna

ye jam'-o-tafreeq zarb-o-taqseem ki sadi hai
aqeeda thehra addad ki mantiq pe shak na karna

pas-e-kharaabaat-e-band jaari hai may-gusaari
sikhaaya jaam-o-suboo ko ham ne khanak na karna

chhalaave ban jaayen aage ja kar yahi ghazaalaan
ta'aqub in mah-vasho_n ka tum door tak na karna

ye gham ke maani tujhe lage hai saraab-e-maa'ni
akela sahna use gham-e-mushtarik na karna

तमीज़-ए-पिसर-ए-ज़मीन व इब्न-ए-फ़लक न करना
तुम आदमी हो तो आदमी की हतक न करना

ये जम्अ'-ओ-तफ़रीक़ ज़र्ब-ओ-तक़सीम की सदी है
अक़ीदा ठहरा अदद की मंतिक़ पे शक न करना

पस-ए-ख़राबात-ए-बंद जारी है मय-गुसारी
सिखाया जाम-ओ-सुबू को हम ने खनक न करना

छलावे बन जाएँ आगे जा कर यही ग़ज़ालाँ
तआ'क़ुब इन मह-वशों का तुम दूर तक न करना

ये ग़म के मा'नी तुझे लगे है सराब-ए-मा'नी
अकेले सहना उसे ग़म-ए-मुश्तरक न करना

  - Aftab Iqbal Shamim

Insaan Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Aftab Iqbal Shamim

As you were reading Shayari by Aftab Iqbal Shamim

Similar Writers

our suggestion based on Aftab Iqbal Shamim

Similar Moods

As you were reading Insaan Shayari Shayari