dil pe vo waqt bhi kis darja giran hota hai | दिल पे वो वक़्त भी किस दर्जा गिराँ होता है

  - Amir Usmani

dil pe vo waqt bhi kis darja giran hota hai
zabt jab daakhil-e-fariyaad-o-fughaan hota hai

kaise batlaayein ki vo dard kahaan hota hai
khoon ban kar jo rag-o-pai mein ravaan hota hai

ishq hi kab hai jo maanoos-e-zabaan hota hai
dard hi kab hai jo mohtaaj-e-bayaan hota hai

jitni jitni sitam-e-yaar se khaata hai shikast
dil jawaan aur jawaan aur jawaan hota hai

waah kya cheez hai ye shiddat-e-rabt-e-baaham
baar-ha khud pe mujhe tera gumaan hota hai

kitni paamaal umangon ka hai madfan mat pooch
vo tabassum jo haqeeqat mein fugaan hota hai

ishq sar-ta-b-qadam aatish-e-sozaan hai magar
us mein shola na sharaara na dhuaan hota hai

kya ye insaaf hai ai khaaliq-e-subh-e-gulshan
koi hansta hai koi giryaa-kunaan hota hai

gham ki badhti hui yoorish se na ghabra aamir
gham bhi ik manzil-e-raahat ka nishaan hota hai

दिल पे वो वक़्त भी किस दर्जा गिराँ होता है
ज़ब्त जब दाख़िल-ए-फ़रियाद-ओ-फ़ुग़ाँ होता है

कैसे बतलाएँ कि वो दर्द कहाँ होता है
ख़ून बन कर जो रग-ओ-पै में रवाँ होता है

इश्क़ ही कब है जो मानूस-ए-ज़बाँ होता है
दर्द ही कब है जो मोहताज-ए-बयाँ होता है

जितनी जितनी सितम-ए-यार से खाता है शिकस्त
दिल जवाँ और जवाँ और जवाँ होता है

वाह क्या चीज़ है ये शिद्दत-ए-रब्त-ए-बाहम
बार-हा ख़ुद पे मुझे तेरा गुमाँ होता है

कितनी पामाल उमंगों का है मदफ़न मत पूछ
वो तबस्सुम जो हक़ीक़त में फ़ुग़ाँ होता है

इश्क़ सर-ता-ब-क़दम आतिश-ए-सोज़ाँ है मगर
उस में शोला न शरारा न धुआँ होता है

क्या ये इंसाफ़ है ऐ ख़ालिक़-ए-सुब्ह-ए-गुलशन
कोई हँसता है कोई गिर्या-कुनाँ होता है

ग़म की बढ़ती हुई यूरिश से न घबरा 'आमिर'
ग़म भी इक मंज़िल-ए-राहत का निशाँ होता है

  - Amir Usmani

Protest Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Amir Usmani

As you were reading Shayari by Amir Usmani

Similar Writers

our suggestion based on Amir Usmani

Similar Moods

As you were reading Protest Shayari Shayari