faasle ki to khair baat hai aur
hyderabad dil se door nahin
dilli mein yun zabaan pe aayi dakan ki baat
sehra mein chhed deve koi jaise chaman ki baat
bazm-e-khird mein chhid to gai hai dakan ki baat
ab ishq le ke aayega daar-o-rasan ki baat
ik husn-e-dakan tha jo nigaahon se na chhoota
har husn ko warna b-khuda chhod gaye ham
azaad ek pal bhi na dil ko sakoon mila
raaste mein dakan bhi tha kahi lucknow ke ba'ad
azaad phir dakan ka samundar hai roo-b-roo
le ja dil-o-nazar ka safeena sanbhaal kar
फ़ासले की तो ख़ैर बात है और
हैदराबाद दिल से दूर नहीं
दिल्ली में यूँ ज़बान पे आई दकन की बात
सहरा में छेड़ देवे कोई जैसे चमन की बात
बज़्म-ए-ख़िरद में छिड़ तो गई है दकन की बात
अब इश्क़ ले के आएगा दार-ओ-रसन की बात
इक हुस्न-ए-दकन था जो निगाहों से न छूटा
हर हुस्न को वर्ना ब-ख़ुदा छोड़ गए हम
'आज़ाद' एक पल भी न दिल को सकूँ मिला
रस्ते में दकन भी था कहीं लखनऊ के बा'द
'आज़ाद' फिर दकन का समुंदर है रू-ब-रू
ले जा दिल-ओ-नज़र का सफ़ीना सँभाल कर
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Jagan Nath Azad
our suggestion based on Jagan Nath Azad
As you were reading Samundar Shayari Shayari