hijrat ne yun kiya hai mujhe meri maa se door | हिजरत ने यूँ किया है मुझे मेरी माँ से दूर

  - kaashif shakiil

hijrat ne yun kiya hai mujhe meri maa se door
yun lag raha hai jaise hoon main jism-o-jaan se door

rooh-o-badan ka rishta makeen-o-makaan ka hai
matlab hai maut ka ki makeen hai makaan se door

baanhe chhuda ke jab vo gaya mere paas se
mujh ko laga ki main hua daarul-amaan se door

jaao kahi bhi maut tumhein aayegi zaroor
jaana hai ek roz sabhi ko yahan se door

alfaaz bhi hain teer zabaan bhi hai ik kamaan
be-soche-samjhe teer na karna kamaan se door

patjhad mein jis shajar se vo guzra to yun hua
aayi bahaar ho gaye patte khizaan se door

kaashif bahut hi soch ke ham ne kiya hai ishq
sood-o-ziyaan se door tumhaare jahaan se door

हिजरत ने यूँ किया है मुझे मेरी माँ से दूर
यूँ लग रहा है जैसे हूँ मैं जिस्म-ओ-जाँ से दूर

रूह-ओ-बदन का रिश्ता मकीन-ओ-मकाँ का है
मतलब है मौत का कि मकीं है मकाँ से दूर

बाँहें छुड़ा के जब वो गया मेरे पास से
मुझ को लगा कि मैं हुआ दारुल-अमाँ से दूर

जाओ कहीं भी मौत तुम्हें आएगी ज़रूर
जाना है एक रोज़ सभी को यहाँ से दूर

अल्फ़ाज़ भी हैं तीर ज़बाँ भी है इक कमाँ
बे-सोचे-समझे तीर न करना कमाँ से दूर

पतझड़ में जिस शजर से वो गुज़रा तो यूँ हुआ
आई बहार हो गए पत्ते ख़िज़ाँ से दूर

'काशिफ़' बहुत ही सोच के हम ने किया है इश्क़
सूद-ओ-ज़ियाँ से दूर तुम्हारे जहाँ से दूर

  - kaashif shakiil

Hijrat Shayari

Our suggestion based on your choice

More by kaashif shakiil

As you were reading Shayari by kaashif shakiil

Similar Writers

our suggestion based on kaashif shakiil

Similar Moods

As you were reading Hijrat Shayari Shayari