khilaaya partav-e-rukh'saar ne kya gul samundar mein
hubaab aa kar bane har samt se bulbul samundar mein
hamaare aah-o-naala se zamaana hai tah-o-baala
kabhi hai shor sehra mein kabhi hai ghul samundar mein
kisi din mujh ko le doobega hijr-e-yaar ka sadma
charaagh-e-hasti-e-mauhoom hoga gul samundar mein
na chhedo mujh ko main ghavvaas hoon dariya-e-ma'ani ka
na dhoondo mujh ko mustagharq hoon main bilkul samundar mein
tumhein dariya-e-khoobi kah diya ghark-e-nadaamat hoon
kahaan ye naaz-o-ghamza aariz-o-kaakul samundar mein
pada tha aks-e-roo-e-naazneen arsa hua us ko
par ab tak tairta firta hai shakl-e-gul samundar mein
uthi mauj-e-saba jumbaañ se shaakh-e-aashiyaan paiham
chali jaati hai goya kashti-e-bulbul samundar mein
vo paai baagh mein firte hain main fikron mein dooba hoon
tamasha hai ki gul gulshan mein hai bulbul samundar mein
abhi to sair ko jaana lab-e-dariya vo seekhe hain
abhi to dekhiye khilte hain kya kya gul samundar mein
khayaal-e-yaar kyoon-kar aa gaya toofaan-e-giryaa mein
khuda maaloom kis shay ka banaya pul samundar mein
kabhi giryaa ka toofaan hai kabhi hairat ka sannaata
kabhi bilkul hoon sehra mein kabhi bilkul samundar mein
vo zalim aashiq-aazaar ki parveen maskh karta hai
dikha kar bulbulon ko daalta hai gul samundar mein
खिलाया परतव-ए-रुख़्सार ने क्या गुल समुंदर में
हुबाब आ कर बने हर सम्त से बुलबुल समुंदर में
हमारे आह-ओ-नाला से ज़माना है तह-ओ-बाला
कभी है शोर सहरा में कभी है ग़ुल समुंदर में
किसी दिन मुझ को ले डूबेगा हिज्र-ए-यार का सदमा
चराग़-ए-हस्ती-ए-मौहूम होगा गुल समुंदर में
न छेड़ो मुझ को मैं ग़व्वास हूँ दरिया-ए-मअनी का
न ढूँडो मुझ को मुसतग़रक़ हूँ मैं बिल्कुल समुंदर में
तुम्हें दरिया-ए-ख़ूबी कह दिया ग़र्क़-ए-नदामत हूँ
कहाँ ये नाज़-ओ-ग़म्ज़ा आरिज़-ओ-काकुल समुंदर में
पड़ा था अक्स-ए-रू-ए-नाज़नीं अर्सा हुआ उस को
पर अब तक तैरता फिरता है शक्ल-ए-गुल समुंदर में
उठी मौज-ए-सबा जुम्बाँ से शाख़-ए-आशियाँ पैहम
चली जाती है गोया कश्ती-ए-बुलबुल समुंदर में
वो पाईं बाग़ में फिरते हैं मैं फ़िक्रों में डूबा हूँ
तमाशा है कि गुल गुलशन में है बुलबुल समुंदर में
अभी तो सैर को जाना लब-ए-दरिया वो सीखे हैं
अभी तो देखिए खिलते हैं क्या क्या गुल समुंदर में
ख़याल-ए-यार क्यूँ-कर आ गया तूफ़ान-ए-गिर्या में
ख़ुदा मालूम किस शय का बनाया पुल समुंदर में
कभी गिर्या का तूफ़ाँ है कभी हैरत का सन्नाटा
कभी बिल्कुल हूँ सहरा में कभी बिल्कुल समुंदर में
वो ज़ालिम आशिक़-आज़ारी की 'परवीं' मश्क़ करता है
दिखा कर बुलबुलों को डालता है गुल समुंदर में
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Parveen Umm-e-Mushtaq
our suggestion based on Parveen Umm-e-Mushtaq
As you were reading Musafir Shayari Shayari