bhool jaaun use vo juda ho
hijr ki bhi yahan ik fazaa ho
yaar beemaar hoon main yahan ab
ya ilaahi mujhe ab shifaa ho
main to rota nahin ishq mein bhi
dost se ishq ki ab khata ho
aur rota phiroon phir hansoon main
dard mein yaar ke vo maza ho
saans nikle meri aur gham bhi
yaar bheetar mere ye hawa ho
भूल जाऊँ उसे वो जुदा हो
हिज्र की भी यहाँ इक फ़ज़ा हो
यार बीमार हूँ मैं यहाँ अब
या इलाही मुझे अब शिफ़ा हो
मैं तो रोता नहीं इश्क़ में भी
दोस्त से इश्क़ की अब ख़ता हो
और रोता फिरूँ फिर हँसूँ मैं
दर्द में यार के वो मज़ा हो
साँस निकले मिरी और ग़म भी
यार भीतर मिरे ये हवा हो
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Vaseem 'Haidar'
our suggestion based on Vaseem 'Haidar'
As you were reading Environment Shayari Shayari