bichhad kar phir mile jo haal poochhenge
mere bin kaise guzre saal poochhenge
nahin mujh sa koi aashiq zamaane mein
mujhe maaloom hai filhaal poochhenge
adaalat mein hai ye pesha wakeelon ka
sawaalon se hi haal-o-chaal poochhenge
yahi rasta agar sansad bhawan ka hai
chalaaein kab talak hartal poochhenge
बिछड़ कर फिर मिले जो हाल पूछेंगे
मिरे बिन कैसे गुज़रे साल पूछेंगे
नहीं मुझ सा कोई आशिक़ ज़माने में
मुझे मालूम है फ़िलहाल पूछेंगे
अदालत में है ये पेशा वकीलों का
सवालों से ही हाल-ओ-चाल पूछेंगे
यही रस्ता अगर संसद भवन का है
चलाएं कब- तलक हड़ताल पूछेंगे
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Vedic Dwivedi
our suggestion based on Vedic Dwivedi
As you were reading Hijrat Shayari Shayari