jo sitaare qamar se poochhte hain
ham tumhaari nazar se poochhte hain
log ab to sawaal bachchon se
kitni dahshat se dar se poochhte hain
tumne ehsaan kiya hi kya ham par
zard patte shajar se poochhte hain
aur jaayen to ab kahaan jaayen
ham tumhaare hi dar se poochhte hain
din to deta nahin koii uttar
raat ke hi pahar se poochhte hain
bhool baithi hai raasta kaise
aao chal kar sehar se poochhte hain
saath rah kar bhi haal mera vo
radio kii khabar se poochhte hain
जो सितारे क़मर से पूछते हैं
हम तुम्हारी नज़र से पूछते हैं
लोग अब तो सवाल बच्चों से
कितनी दहशत से डर से पूछते हैं
तुमने एहसाँ किया ही क्या हम पर
ज़र्द पत्ते शजर से पूछते हैं
और जाएँ तो अब कहांँ जाएंँ
हम तुम्हारे ही दर से पूछते हैं
दिन तो देता नहीं कोई उत्तर
रात के ही पहर से पूछते हैं
भूल बैठी है रास्ता कैसे
आओ चल कर सहर से पूछते हैं
साथ रह कर भी हाल मेरा वो
रेडियो की ख़बर से पूछते हैं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Nazar Dwivedi
our suggestion based on Nazar Dwivedi
As you were reading Raat Shayari Shayari