khuda use bhi kisi din zawaal deta hai
zamaana jis ke hunar ki misaal deta hai
vo jab shu'ur ko lafzon mein dhaal deta hai
ajeeb soch niraale khayal deta hai
koi samajh na saka us ki den ka andaaza
kabhi khushi kabhi ranj-o-malaal deta hai
kabhi vo zakham lagata hai mere seene par
kabhi vo paanv se kaanta nikaal deta hai
usi ne di hai gunaah-o-sawaab ki tafriq
wahi shu'oor-e-haraam-o-halaal deta hai
mere khuda use sanjeedgi ata kar de
vo meri baat ko hans hans ke taal deta hai
kabhi kinaare bhi kashti bacha nahin sakte
kabhi bhanwar bhi safeene uchaal deta hai
vo kar guzarta hai akshar mera junoon ejaz
ki jo khird ko bhi hairat mein daal deta hai
ख़ुदा उसे भी किसी दिन ज़वाल देता है
ज़माना जिस के हुनर की मिसाल देता है
वो जब शुऊ'र को लफ़्ज़ों में ढाल देता है
अजीब सोच निराले ख़याल देता है
कोई समझ न सका उस की देन का अंदाज़ा
कभी ख़ुशी कभी रंज-ओ-मलाल देता है
कभी वो ज़ख़्म लगाता है मेरे सीने पर
कभी वो पाँव से काँटा निकाल देता है
उसी ने दी है गुनाह-ओ-सवाब की तफ़रीक़
वही शुऊ'र-ए-हराम-ओ-हलाल देता है
मिरे ख़ुदा उसे संजीदगी अता कर दे
वो मेरी बात को हँस हँस के टाल देता है
कभी किनारे भी कश्ती बचा नहीं सकते
कभी भँवर भी सफ़ीने उछाल देता है
वो कर गुज़रता है अक्सर मिरा जुनूँ 'एजाज़'
कि जो ख़िरद को भी हैरत में डाल देता है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ejaz Ansari
our suggestion based on Ejaz Ansari
As you were reading Khushi Shayari Shayari