agar main kehta hoon jeena hai qaid-e-tanhaai
to zindagaani ki qeemat pe harf kyun aaye
agar na aaya mujhe saazgaar wasl-e-habeeb
to e'timaad-e-mohabbat pe harf kyun aaye
agar mile mujhe virse mein kuchh shikasta khandar
to kaayenaat ki wus'at pe harf kyun aaye
agar dikhaai diye mujh ko aadmi aaseb
to asr-e-nau ki baseerat pe harf kyun aaye
agar na raah-e-yaqeen pa saki meri tashkeek
to fikr-o-fan ki sharaafat pe harf kyun aaye
agar khizaan hi mili mujh ko aankh khulne par
to fasl-e-gul ki amaanat pe harf kyun aaye
agar mere gham-e-be-naam ko mili vehshat
to bazm-e-jashn-e-masarrat pe harf kyun aaye
main apne ahad ka hoon nauha-khwaan na deeje daad
qaseeda-khwaan ki rivaayat pe harf kyun aaye
agar hunar hai mera jins-e-kam-ayaar to ho
zameer-o-dil ki tijaarat pe harf kyun aaye
main apne khwaabon ka bhatka hua musaafir hoon
agar mujhe na mili manzil-e-najaat to kya
main apni rooh ki tanhaaiyon ka sho'ala hoon
hawa-e-dehr mein haasil nahin sabaat to kya
main apni turfagi-e-tab' ka to pee luun zahar
jo dastaras mein nahin chashma-e-hayaat to kya
main apni zaat ki khilwat ka hairati hi sahi
jo mujh pe khul na saka raaz-e-kaayenaat to kya
main apne khun ke charaagon ko raushni de doon
sahar-naseeb na ho paaye meri raat to kya
main aap se na kahunga ki hai ziyaan jaan ka
khayal-e-sheesha-e-dil sang-aazma na kare
main aap se nahin chaahunga daad-e-jaan-baazi
dua hai aap ko gham dard-aashna na kare
main aap se nahin maangoonga khoon-baha-e-wafa
koi to tark rah-o-rasm-e-aashiqana kare
main aap ko na dikhaaunga apne zakhmi khwaab
khalal ho aap ke aaraam mein khuda na kare
magar zameen prometheus ko kyun roke
jo vo jahaan ke khudaaon se jang karta hai
use na maut ke aaseb paas aane den
jo aasmaanon se le kar hayaat utarta hai
hai dar pighalne ka dekhen idhar na barf ke but
jo koi shola-e-uryaan ye haath dharta hai
azaab us pe karein kam na qahar ke devta
jo apni aag mein jal kar bhi raqs karta hai
ise na maane kabhi be-hisi hayaat-parast
har ek saans pe jo zinda ho ke marta hai
karein na aap mudaava-e-soz-e-aatish-e-gham
ye zulm mujh pe to har roz-o-shab guzarta hai
salaamat aap ka eimaan main to hoon kaafir
har ek waz'a se apni hayaat karta hai
अगर मैं कहता हूँ जीना है क़ैद-ए-तन्हाई
तो ज़िंदगानी की क़ीमत पे हर्फ़ क्यूँ आए
अगर न आया मुझे साज़गार वस्ल-ए-हबीब
तो ए'तिमाद-ए-मोहब्बत पे हर्फ़ क्यूँ आए
अगर मिले मुझे विर्से में कुछ शिकस्ता खंडर
तो काएनात की वुसअत पे हर्फ़ क्यूँ आए
अगर दिखाई दिए मुझ को आदमी आसेब
तो अस्र-ए-नौ की बसीरत पे हर्फ़ क्यूँ आए
अगर न राह-ए-यक़ीं पा सकी मिरी तश्कीक
तो फ़िक्र-ओ-फ़न की शराफ़त पे हर्फ़ क्यूँ आए
अगर ख़िज़ाँ ही मिली मुझ को आँख खुलने पर
तो फ़स्ल-ए-गुल की अमानत पे हर्फ़ क्यूँ आए
अगर मिरे ग़म-ए-बे-नाम को मिली वहशत
तो बज़्म-ए-जश्न-ए-मसर्रत पे हर्फ़ क्यूँ आए
मैं अपने अहद का हूँ नौहा-ख़्वाँ न दीजे दाद
क़सीदा-ख़्वाँ की रिवायत पे हर्फ़ क्यूँ आए
अगर हुनर है मिरा जिंस-ए-कम-अयार तो हो
ज़मीर-ओ-दिल की तिजारत पे हर्फ़ क्यूँ आए
मैं अपने ख़्वाबों का भटका हुआ मुसाफ़िर हूँ
अगर मुझे न मिली मंज़िल-ए-नजात तो क्या
मैं अपनी रूह की तन्हाइयों का शोअ'ला हूँ
हवा-ए-दहर में हासिल नहीं सबात तो क्या
मैं अपनी तुर्फ़गी-ए-तब्अ' का तो पी लूँ ज़हर
जो दस्तरस में नहीं चश्मा-ए-हयात तो क्या
मैं अपनी ज़ात की ख़ल्वत का हैरती ही सही
जो मुझ पे खुल न सका राज़-ए-काएनात तो क्या
मैं अपने ख़ूँ के चराग़ों को रौशनी दे दूँ
सहर-नसीब न हो पाए मेरी रात तो क्या
मैं आप से न कहूँगा कि है ज़ियाँ जाँ का
ख़याल-ए-शीशा-ए-दिल संग-आज़मा न करे
मैं आप से नहीं चाहूँगा दाद-ए-जाँ-बाज़ी
दुआ है आप को ग़म दर्द-आश्ना न करे
मैं आप से नहीं माँगूँगा ख़ूँ-बहा-ए-वफ़ा
कोई तो तर्क रह-ओ-रस्म-ए-आशिक़ाना करे
मैं आप को न दिखाऊँगा अपने ज़ख़्मी ख़्वाब
ख़लल हो आप के आराम में ख़ुदा न करे
मगर ज़मीन परोमीथियस को क्यूँ रोके
जो वो जहाँ के ख़ुदाओं से जंग करता है
उसे न मौत के आसेब पास आने दें
जो आसमानों से ले कर हयात उतरता है
है डर पिघलने का देखें इधर न बर्फ़ के बुत
जो कोई शोला-ए-उर्यां ये हाथ धरता है
अज़ाब उस पे करें कम न क़हर के देवता
जो अपनी आग में जल कर भी रक़्स करता है
इसे न माने कभी बे-हिसी हयात-परस्त
हर एक साँस पे जो ज़िंदा हो के मरता है
करें न आप मुदावा-ए-सोज़-ए-आतिश-ए-ग़म
ये ज़ुल्म मुझ पे तो हर रोज़-ओ-शब गुज़रता है
सलामत आप का ईमान मैं तो हूँ काफ़िर
हर एक वज़्अ' से अपनी हयात करता है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Waheed Akhtar
our suggestion based on Waheed Akhtar
As you were reading Neend Shayari Shayari