haadson ne hauslon ko kitna bebas kar diya hai
pukhtagi ne aansuon ko kitna bebas kar diya hai
haar kar dil aashiqi mein haath thaama tha qalam ka
par qalam ne hasraton ko kitna bebas kar diya hai
phir kisi maasoom ko faansi mukarrar ho gai hai
rishwaton ne faislon ko kitna bebas kar diya hai
panchiyon ko khwaahish-e-deedaar hai bas chaand ka par
baadlon ne khwahishon ko kitna bebas kar diya hai
haal bhi ab pooch ham paate nahin ik doosre ka
sarhadon ne do dilon ko kitna bebas kar diya hai
baat bhi hoti nahin ab raat bhi hoti nahin ab
furqaton ne in palon ko kitna bebas kar diya hai
zindagi bhaati nahin ab maut bhi aati nahin par
faaslon ne dhadkano ko kitna bebas kar diya hai
dastaan apni sunaakar be-wajah rehaan tumne
gham-zada in mustamon ko kitna bebas kar diya hai
हादसों ने हौसलों को कितना बेबस कर दिया है
पुख़्तगी ने आँसुओं को कितना बेबस कर दिया है
हार कर दिल आशिक़ी में हाथ थामा था क़लम का
पर क़लम ने हसरतों को कितना बेबस कर दिया है
फिर किसी मासूम को फाँसी मुकर्रर हो गई है
रिश्वतों ने फ़ैसलों को कितना बेबस कर दिया है
पंछियों को ख़्वाहिश-ए-दीदार है बस चाँद का पर
बादलों ने ख़्वाहिशों को कितना बेबस कर दिया है
हाल भी अब पूछ हम पाते नहीं इक दूसरे का
सरहदों ने दो दिलों को कितना बेबस कर दिया है
बात भी होती नहीं अब रात भी होती नहीं अब
फ़ुर्क़तों ने इन पलों को कितना बेबस कर दिया है
ज़िन्दगी भाती नहीं अब मौत भी आती नहीं पर
फ़ासलों ने धड़कनों को कितना बेबस कर दिया है
दास्ताँ अपनी सुनाकर बे-वजह 'रेहान' तुमने
ग़म-ज़दा इन मुस्तमों को कितना बेबस कर दिया है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Rehaan
our suggestion based on Rehaan
As you were reading Maut Shayari Shayari